sajda karte the jahan wo sajda-gahen chhoD din
sajda karte the jahāñ vo sajda-gāheñ chhoḌ diiñ
tere pīchhe chal paḌe to apnī rāheñ chhoḌ diiñ
kis kī ḳhātir ġham sahe aur ho ga.e ḳhalvat-nashīñ
kis kī ḳhātir us zamāne kī panāheñ chhoḌ diiñ
husn kī ra.anā.iyoñ par ishq kī nādāniyāñ
jo ki dastūr-e-mohabbat meñ ravā haiñ chhoḌ diiñ
tum ne to rasm-e-jahāñ ke aage sar ḳham kar liyā
goyā tum ne Daal kar bāhoñ meñ bāheñ chhoḌ diiñ
rah gayā kyā hai manāne ke liye ab aap ko
aap mujh se jin adāoñ par ḳhafā haiñ chhoḌ deñ
jab se tere naqsh-e-pā par hai ravāñ 'mumtāz' phir
jin kī rāheñ terī rāhoñ se judā haiñ chhoḌ diiñ
sajda karte the jahan wo sajda-gahen chhoD din
tere pichhe chal paDe to apni rahen chhoD din
kis ki KHatir gham sahe aur ho gae KHalwat-nashin
kis ki KHatir us zamane ki panahen chhoD din
husn ki ranaiyon par ishq ki nadaniyan
jo ki dastur-e-mohabbat mein rawa hain chhoD din
tum ne to rasm-e-jahan ke aage sar KHam kar liya
goya tum ne Dal kar bahon mein bahen chhoD din
rah gaya kya hai manane ke liye ab aap ko
aap mujh se jin adaon par KHafa hain chhoD den
jab se tere naqsh-e-pa par hai rawan 'mumtaz' phir
jin ki rahen teri rahon se juda hain chhoD din
- Book : Mumtaziyat (Pg. 74)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.