aap to dil mein utarte hi chale jate hain
aap to dil meñ utarte hī chale jaate haiñ
soch ke rañg nikharte hī chale jaate haiñ
ishq ne jin ke diloñ ko bhī banāyā maskan
un ke andāz sañvarte hī chale jaate haiñ
ek lamhe kī mulāqāt kī ḳhush-fahmī meñ
sāl-hā-sāl guzarte hī chale jaate haiñ
jab se ham un kī rifāqat meñ chale haiñ tab se
tai baḌī manzileñ karte hī chale jaate haiñ
zindagānī ko pur-ummīd banāyā jaa.e
roz-o-shab yuuñ bhī guzarte hī chale jaate haiñ
un kī ik nazar-e-'ināyat kī badaulat ham bhī
har na.ī aan sañvarte hī chale jaate haiñ
ye suḳhan-var haiñ jo 'mumtāz' ka.ī sadiyoñ se
pyaar afkār meñ bharte hī chale jaate haiñ
aap to dil mein utarte hi chale jate hain
soch ke rang nikharte hi chale jate hain
ishq ne jin ke dilon ko bhi banaya maskan
un ke andaz sanwarte hi chale jate hain
ek lamhe ki mulaqat ki KHush-fahmi mein
sal-ha-sal guzarte hi chale jate hain
jab se hum un ki rifaqat mein chale hain tab se
tai baDi manzilen karte hi chale jate hain
zindagani ko pur-ummid banaya jae
roz-o-shab yun bhi guzarte hi chale jate hain
un ki ek nazar-e-'inayat ki badaulat hum bhi
har nai aan sanwarte hi chale jate hain
ye suKHan-war hain jo 'mumtaz' kai sadiyon se
pyar afkar mein bharte hi chale jate hain
- Book : Mumtaziyat (Pg. 82)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.