payash-e-nazar tabhi mere lahra gaya hai ishq
payash-e-nazar tabhī mire lahrā gayā hai ishq
maiñ ġham ko pī rahā thā mujhe khā gayā hai ishq
vaa.iz ko kyā ḳhabar hai ki merā ḳhudā hai ishq
ḳhud aake mujh ko ramz ye samjhā gayā hai ishq
nāzuk-mizājiyoñ ke ye ḳham duur kījiye
varna ye jaan lījiye bal-khā gayā hai ishq
go nazr-e-ġham hue haiñ mire roz-o-shab magar
ye kam nahīñ ki dil mirā bahlā gayā hai ishq
nakHl-e-tasavvurāt rahegā sadā-bahār
bārish zamīñ pe dil kī vo barsā gayā hai ishq
payash-e-nazar tabhi mere lahra gaya hai ishq
main gham ko pi raha tha mujhe kha gaya hai ishq
waiz ko kya KHabar hai ki mera KHuda hai ishq
KHud aake mujh ko ramz ye samjha gaya hai ishq
nazuk-mizajiyon ke ye KHam dur kijiye
warna ye jaan lijiye bal-kha gaya hai ishq
go nazr-e-gham hue hain mere roz-o-shab magar
ye kam nahin ki dil mera bahla gaya hai ishq
nakHl-e-tasawwuraat rahega sada-bahaar
barish zamin pe dil ki wo barsa gaya hai ishq
- Book : Mumtaziyat (Pg. 88)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.