us pari-paikar ne mera dil lubha kar rakh diya
us parī-paikar ne merā dil lubhā kar rakh diyā
apne parvāna sar-e-mahfil jalā kar rakh diyā
shoḳh āñkhoñ se huī tīroñ kī bārish is qadar
ik nazar meñ tan badan ghā.il banā kar rakh diyā
jab bhañvar se jaan chhūTī bādbāñ ne aa liyā
haath se ummīd kā sāhil chhuḌā kar rakh diyā
yā ilāhī kyā kareñ terī razā ke sāmne
halqa-e-ahbāb meñ qātil chhupā kar rakh diyā
jis ko bhī 'mumtāz'-e-nargis aur gul-e-lāla kahā
us ne apne dil meñ kaalā til dabā kar rakh diyā
us pari-paikar ne mera dil lubha kar rakh diya
apne parwana sar-e-mahfil jala kar rakh diya
shoKH aankhon se hui tiron ki barish is qadar
ek nazar mein tan badan ghail bana kar rakh diya
jab bhanwar se jaan chhuTi baadban ne aa liya
hath se ummid ka sahil chhuDa kar rakh diya
ya ilahi kya karen teri raza ke samne
halqa-e-ahbab mein qatil chhupa kar rakh diya
jis ko bhi 'mumtaz'-e-nargis aur gul-e-lala kaha
us ne apne dil mein kala til daba kar rakh diya
- Book : Mumtaziyat (Pg. 152)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.