muskuraate hain fi-sabilillah
muskurāte haiñ fī-sabīlillāh
dukh baTāte haiñ fī-sabīlillāh
raah ke pattharoñ se Takrā kar
laḌkhaḌāte haiñ fī-sabīlillāh
haiñ ujrat talab nahīñ karte
kaam aate haiñ fī-sabīlillāh
apne sukh bāñTte haiñ auroñ ko
rañj paate haiñ fī-sabīlillāh
nazr ko nazr karte jaate haiñ
giit gaate haiñ fī-sabīlillāh
bazm-e-shāh-o-gadā se kyā lenā
aate jaate haiñ fī-sabīlillāh
ma.arke meñ vafā ke ham 'mumtāz'
ḳhuuñ bahāte haiñ fī-sabīlillāh
muskuraate hain fi-sabilillah
dukh baTate hain fi-sabilillah
rah ke pattharon se Takra kar
laDkhaDate hain fi-sabilillah
hain ujrat talab nahin karte
kaam aate hain fi-sabilillah
apne sukh banTte hain auron ko
ranj pate hain fi-sabilillah
nazr ko nazr karte jate hain
git gate hain fi-sabilillah
bazm-e-shah-o-gada se kya lena
aate jate hain fi-sabilillah
marke mein wafa ke hum 'mumtaz'
KHun bahate hain fi-sabilillah
- Book : Mumtaziyat (Pg. 158)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.