murshid ka ye qaul muKHtasar hai
murshid kā ye qaul muḳhtasar hai
dil jo bhī kahe vo mo'atabar hai
socho to ye sīm-o-zar haiñ ḳhākī
dekho to ye ḳhaak sīm-o-zar hai
girdāb-e-gunāh meñ phañse haiñ
dāmān-e-dil-o-nigāh-tar hai
chaḌhtī huī āb-jū-e-ġhaflat
kuchh din se bahut uruuj par hai
is dhuup meñ apnī shāḳh-e-ġham par
achchhā hai ki kuchh to barg-o-bar hai
be-kārī-e-āshiqāñ salāmat
ye be-hunarī bhī ik hunar hai
kuchh soch ke us se baat karnā
us ko to diloñ kī bhī ḳhabar hai
murshid ka ye qaul muKHtasar hai
dil jo bhi kahe wo mo'atabar hai
socho to ye sim-o-zar hain KHaki
dekho to ye KHak sim-o-zar hai
girdab-e-gunah mein phanse hain
daman-e-dil-o-nigah-tar hai
chaDhti hui aab-ju-e-ghaflat
kuchh din se bahut uruj par hai
is dhup mein apnī shaKH-e-gham par
achchha hai ki kuchh to barg-o-bar hai
be-kari-e-ashiqan salamat
ye be-hunari bhi ek hunar hai
kuchh soch ke us se baat karna
us ko to dilon ki bhi KHabar hai
- Book : Ghaib ka Sitara (Pg. 42)
- Author : Mueen Nizami
- Publication : Anybook, Noida (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.