apne diwane pe kab unki nazar hoti hai
apne dīvāne pe kab un kī nazar hotī hai
kab unheñ dard ke māroñ kī ḳhabar hotī hai
raat furqat meñ bahar-taur basar hotī hai
aap kyā jāneñ ki kis tarh sahar hotī hai
kaan aahaT pe nazar jānib-e-dar hotī hai
kaifiyat shaam se ye tā ba-sahar hotī hai
yaas ke saath hī rahtī hai ummīd-e-mohūm
Dūbne vāloñ kī sāhil pe nazar hotī hai
zulf-o-ruḳh hī ke tasavvur meñ rahā karatā huuñ
umr kaTtī hai yuuñ hī shām-o-sahar hotī hai
manzil-e-ishq ko āsān samajhte ho 'asīr'
ye to dushvār bahut rāhguzar hotī hai
apne diwane pe kab un ki nazar hoti hai
kab unhen dard ke maron ki KHabar hoti hai
raat furqat mein bahar-taur basar hoti hai
aap kya jaanen ki kis tarh sahar hoti hai
kan aahaT pe nazar jaanib-e-dar hoti hai
kaifiyat sham se ye ta ba-sahar hoti hai
yas ke sath hi rahti hai ummid-e-mohum
Dubne walon ki sahil pe nazar hoti hai
zulf-o-ruKH hi ke tasawwur mein raha karata hun
umr kaTti hai yun hi sham-o-sahar hoti hai
manzil-e-ishq ko aasan samajhte ho 'asir'
ye to dushwar bahut rahguzar hoti hai
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 53)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.