Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

go jurm zamana mein hai izhaar-e-mohabbat

Aseer Mohammadabadi

go jurm zamana mein hai izhaar-e-mohabbat

Aseer Mohammadabadi

MORE BYAseer Mohammadabadi

    go jurm zamāna meñ hai iz.hār-e-mohabbat

    hotā hai magar aaj bhī iqrār-e-mohabbat

    be-tābī-e-dil kartī hai iz.hār-e-mohabbat

    chehre se ayaañ haiñ mire āsār-e-mohabbat

    a.alam hai ye ab kash-makash dil ke sabab se

    inkār-e-mohabbat hai na iqrār-e-mohabbat

    hashr na ab hogā sakūñ qalb ko mere

    haa.il hai mirī raah meñ dīvār-e-mohabbat

    pur-kaif hai is darja tirā bāda-e-ulfat

    sarmast rahā karatā hai sarshār-e-mohabbat

    hālat hai 'asīr' aap kyuuñ itnī digar-gūñ

    kyā aap ko bhī ho gayā āzār-e-mohabbat

    go jurm zamana mein hai izhaar-e-mohabbat

    hota hai magar aaj bhi iqrar-e-mohabbat

    be-tabi-e-dil karti hai izhaar-e-mohabbat

    chehre se ayan hain mere aasar-e-mohabbat

    aalam hai ye ab kash-makash dil ke sabab se

    inkar-e-mohabbat hai na iqrar-e-mohabbat

    ta hashr na ab hoga sakun qalb ko mere

    hail hai meri rah mein diwar-e-mohabbat

    pur-kaif hai is darja tera baada-e-ulfat

    sarmast raha karata hai sarshaar-e-mohabbat

    haalat hai 'asir' aap ki kyun itni digar-gun

    kya aap ko bhi ho gaya aazar-e-mohabbat

    Source :
    • Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 54)
    • Author : Irfan Abbasi
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now