shab-e-furqat hai main hun aur meri chashm-e-giryan hai
shab-e-furqat hai main hun aur meri chashm-e-giryan hai
Aseer Mohammadabadi
MORE BYAseer Mohammadabadi
shab-e-furqat hai maiñ huuñ aur merī chashm-e-giryāñ hai
talātum-ḳhez ġham meñ josh-e-pur-ashkoñ kā tūfāñ hai
kahīñ be-tābī-e-dil rāz-e-ulfat kar na de afshāñ
madad ai zabt-e-girya josh-e-pur-ashkoñ kā tūfāñ hai
junūñ afzā havāoñ se fazā bhī uljhī uljhī hai
nazar meñ sūrat-e-mauhūm har tār-e-garebāñ hai
udāsī hai chaman par chup haiñ kaliyāñ gul haiñ pazhmurda
muḳhālif hai havā badlā huā rañg-e-gulistāñ hai
qarīb-e-ātish-e-gul hai chaman meñ āshiyāñ merā
sitam ye hai ki us par bhī nigāh-e-barq-e-sozāñ hai
ba-vaqt-e-naza.a bālīñ par 'asīr' is tarah vo aa.e
banī hai ġham kī sūrat chashm-e-tar hai dil pashemāñ hai
shab-e-furqat hai main hun aur meri chashm-e-giryan hai
talatum-KHez gham mein josh-e-pur-ashkon ka tufan hai
kahin be-tabi-e-dil raaz-e-ulfat kar na de afshan
madad ai zabt-e-girya josh-e-pur-ashkon ka tufan hai
junun afza hawaon se faza bhi uljhi uljhi hai
nazar mein surat-e-mauhum har tar-e-gareban hai
udasi hai chaman par chup hain kaliyan gul hain pazhmurda
muKHalif hai hawa badla hua rang-e-gulistan hai
qarib-e-atish-e-gul hai chaman mein aashiyan mera
sitam ye hai ki us par bhi nigah-e-barq-e-sozan hai
ba-waqt-e-naza baalin par 'asir' is tarah wo aae
bani hai gham ki surat chashm-e-tar hai dil pasheman hai
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 53)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.