ye to kahte hain shadman hote
ye to kahte haiñ shādmāñ hote
ġham na hotā to ham kahāñ hote
dil ko barbād kar diyā varna
apne qabze meñ do jahñ hote
be-navā.ī se apnī behtar thā
be-makāñ hote be-nishāñ hote
ek jalva hazār tāsīreñ
kis ke kis ke mizāj-dāñ hote
rañg-e-gulshan samajhne vaale kyuuñ
mutamannī āshiyāñ hote
ek hālat pe gar jahāñ rahtā
dil ke armāñ vabāl-e-jāñ hote
na mohabbat meñ jaan se jaate
na haqīqat ke rāzdāñ hote
thak ke baiThe haiñ jāda-e-ġham meñ
chalte rahte to ham kahāñ hote
baat bantī agar qafas vaale
ek dil hote ik zabāñ hote
parda-e-daustī meñ jo milte
ġham vo nā-qābil-e-bayāñ hote
kaash duniyā ko chāhne vaale
dil-e-'bismil' ke rāz-dāñ hote
ye to kahte hain shadman hote
gham na hota to hum kahan hote
dil ko barbaad kar diya warna
apne qabze mein do jahn hote
be-nawai se apni behtar tha
be-makan hote be-nishan hote
ek jalwa hazar tasiren
kis ke kis ke mizaj-dan hote
rang-e-gulshan samajhne wale kyun
mutamanni aashiyan hote
ek haalat pe gar jahan rahta
dil ke arman wabaal-e-jaan hote
na mohabbat mein jaan se jate
na haqiqat ke raazdan hote
thak ke baiThe hain jada-e-gham mein
chalte rahte to hum kahan hote
baat banti agar qafas wale
ek dil hote ek zaban hote
parda-e-dausti mein jo milte
gham wo na-qabil-e-bayan hote
kash duniya ko chahne wale
dil-e-'bismil' ke raaz-dan hote
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 87)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.