yarab kisi se chhin ke mujhko KHushi na de
yārab kisī se chhīn ke mujh ko ḳhushī na de
jo dūsroñ pe baar ho vo zindagī na de
nā-qābil-e-ubūr nazar tīrgī na de
yā phir mirī nigāh meñ bhī raushnī na de
majbūriyāñ baḌhā na asīr-e-hayāt kī
pābandiyoñ ke saath ġham-e-zindagī na de
dam-bhar kī baat hai ye ġham-e-zindagī agar
mahshar ke din gunāhoñ kī sharmindagī na de
vo rañj kyā jo ham ko batā.e na rañg-e-dahr
vo dard kyā jo ek na.ī zindagī na de
dard-e-dil hazīñ ba-qazā-e-ranj-o-ġham
uThe agar to mohlat-e-chārā-garī na de
vo ishq kyā jo ranj-o-musībat ke saath saath
ġhamgīn dil ko ne.amat-e-sanjīdgī na de
jis kā natīja ġham ke sivā aur kuchh na ho
ai nā-shanāsh-e-rañj mujhe vo ḳhushī na de
ma.alūm hotā haal agar is jahān kā
kahtā hazār baar mujhe zindagī na de
usrat mirī qabūl kare bhī to ai ḳhudā
māñge hue charāġh meñ tū raushnī na de
'bismil' vafūr-e-gam bhī rahe raaz hī agar
dast-e-junoñ ko zahmat-e-jāma-darī na de
yarab kisi se chhin ke mujh ko KHushi na de
jo dusron pe bar ho wo zindagi na de
na-qabil-e-ubur nazar tirgi na de
ya phir meri nigah mein bhi raushni na de
majburiyan baDha na asir-e-hayat ki
pabandiyon ke sath gham-e-zindagi na de
dam-bhar ki baat hai ye gham-e-zindagi agar
mahshar ke din gunahon ki sharmindagi na de
wo ranj kya jo hum ko batae na rang-e-dahr
wo dard kya jo ek nai zindagi na de
dard-e-dil hazin ba-qaza-e-ranj-o-gham
uThe agar to mohlat-e-chaara-gari na de
wo ishq kya jo ranj-o-musibat ke sath sath
ghamgin dil ko neamat-e-sanjidgi na de
jis ka natija gham ke siwa aur kuchh na ho
ai na-shanash-e-ranj mujhe wo KHushi na de
malum hota haal agar is jahan ka
kahta hazar bar mujhe zindagi na de
usrat meri qabul kare bhi to ai KHuda
mange hue charagh mein tu raushni na de
'bismil' wafur-e-gam bhi rahe raaz hi agar
dast-e-junon ko zahmat-e-jama-dari na de
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 88)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.