dard jab tak ki la-dawa na hua
dard jab tak ki lā-davā na huā
zindagī kā bhī aasrā na huā
hausle se jo baḌh gayā mere
kabhī puurā vo mudda.ā na huā
husn-e-vahdat ke sab karishme haiñ
ek kī shakl dūsrā na huā
kab se ham jis ke intizār meñ haiñ
hashr vo aaj tak bapā na huā
juzv kul se na mil sakā chhuT kar
banda banda rahā ḳhudā na huā
bāġh-e-fitrat meñ phir bahār aa.ī
zard patā magar harā na huā
maut aur zindagī meñ rabt hai kyuuñ
aaj tak tai ye mas.ala na huā
mujh se 'bismil' ke vāste shab-e-ġham
kyā huā kyā batā.ūñ kyā na huā
dard jab tak ki la-dawa na hua
zindagi ka bhi aasra na hua
hausle se jo baDh gaya mere
kabhi pura wo muddaa na hua
husn-e-wahdat ke sab karishme hain
ek ki shakl dusra na hua
kab se hum jis ke intizar mein hain
hashr wo aaj tak bapa na hua
juzw kul se na mil saka chhuT kar
banda banda raha KHuda na hua
bagh-e-fitrat mein phir bahaar aai
zard pata magar hara na hua
maut aur zindagi mein rabt hai kyun
aaj tak tai ye masala na hua
mujh se 'bismil' ke waste shab-e-gham
kya hua kya bataun kya na hua
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 89)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.