musa ne jise jalwa-numa tur se dekha
muusā ne jise jalva-numā tuur se dekhā
kal-barq use maiñ ne bhī kal duur se dekhā
gar vo na dikhātā to use dekhte kyā ham
us nuur ko ham ne to isī nuur se dekhā
ik tarah kā hove to kisī se kahūñ tārīf
sau tarah kā naaz us but-e-maġhrūr se dekhā
kab husn meñ ho hūr-o-parī us ke muqābil
us rashk-e-parī ko to pare huur se dekhā
ham ko to bahut rañj dabe ishq meñ dal ne
kyā kyā na turāb is dal ranjūr se dekhā
musa ne jise jalwa-numa tur se dekha
kal-barq use main ne bhi kal dur se dekha
gar wo na dikhata to use dekhte kya hum
us nur ko hum ne to isi nur se dekha
ek tarah ka howe to kisi se kahun tarif
sau tarah ka naz us but-e-maghrur se dekha
kab husn mein ho hur-o-pari us ke muqabil
us rashk-e-pari ko to pare hur se dekha
hum ko to bahut ranj dabe ishq mein dal ne
kya kya na turab is dal ranjur se dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.