agar dhoke se be-parda wo parda-dar ho jae
agar dhoke se be-parda vo parda-dār ho jaa.e
to phir duniyā meñ dīvāna har ik hushyār ho jaa.e
bhale se aag lag jaa.e nasheman ko mere lekin
naqāb-e-ruḳh ulaT do ab zarā dīdār ho jaa.e
nazar bhar ke jise tum dekh lo in mast nazroñ se
Thikāna uskā mai-ḳhāna ho vo mai-ḳhvār ho jaa.e
haqīqat kā'ba-o-but-ḳhāna kī koī batā.e kyā
ye vo jāneñ jo chashm-e-yār kā bīmār ho jaa.e
hazāroñ bijliyāñ kaḌke uThe tūfān kitne hī
mehrbāñ tum ho jis beḌe ke beḌā paar ho jaa.e
tumhārā ye parī-vash husn sāheb kyā kaheñ is ko
musalmāñ dekh le to sāhib-e-zunnār ho jaa.e
ye rāh-e-'ishq hai yaañ sar diye jaate haiñ nazrāne
jo sar dede ḳhushī se bas vahī sardār ho jaa.e
ḳhudā dushman ko bhī mahfūz rakkhe 'ishq-bāzī se
koī be-bas koī be-kas koī lāchār ho jaa.e
'muzammil' haañ jo dīvāna thā dīvāna tumhārā vo
use dīvāna aa dekhe to ab hushiyār ho jaa.e
agar dhoke se be-parda wo parda-dar ho jae
to phir duniya mein diwana har ek hushyar ho jae
bhale se aag lag jae nasheman ko mere lekin
naqab-e-ruKH ulaT do ab zara didar ho jae
nazar bhar ke jise tum dekh lo in mast nazron se
Thikana uska mai-KHana ho wo mai-KHwar ho jae
haqiqat ka'ba-o-but-KHana ki koi batae kya
ye wo jaanen jo chashm-e-yar ka bimar ho jae
hazaron bijliyan kaDke uThe tufan kitne hi
mehrban tum ho jis beDe ke beDa par ho jae
tumhaara ye pari-wash husn saheb kya kahen is ko
musalman dekh le to sahib-e-zunnar ho jae
ye rah-e-'ishq hai yan sar diye jate hain nazrane
jo sar dede KHushi se bas wahi sardar ho jae
KHuda dushman ko bhi mahfuz rakkhe 'ishq-bazi se
koi be-bas koi be-kas koi lachaar ho jae
'muzammil' han jo diwana tha diwana tumhaara wo
use diwana aa dekhe to ab hushiyar ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.