hasraton se takte hain diwar-o-dar ko baam ko
hasratoñ se takte haiñ dīvār-o-dar ko baam ko
vo nā aa.e intizāreñ aan pahuñchī shaam ko
mai-kade kī sāqī-e-mastāñ ke dam se hai bahār
varna kyā mai aur miinā kyā kareñge jaam ko
āgahī detī hai ek taaza ḳhabar har gaam pe
aur junūñ Thukrātā jaatā hai har ek paiġhām ko
tum nahīñ loge ḳhabar ye ho chukā dil ko yaqīñ
de rahā hai dil tasallī haañ mujhe bas naam ko
ulTe pāvauñ phir ga.ī āḳhir hamāre sahn se
jab diyā unkā havāla gardish-e-ayyām ko
vā’iz-e-nādān pe khul jaa.e rah-e-’irfāñ kā baab
bā-adab gar dast-e-sāqī se pakaḌ le jaam ko
allāh allāh ye tasarruf ye bulandī ye kamāl
do du.’a.eñ sāqī-e-barkat ke faiz-e-'ām ko
thā kabhī pahle ‘muzammil’ mubtalā us shoḳh kā
haaye nākāmī-e-ulfat ab rahā bas naam ko
hasraton se takte hain diwar-o-dar ko baam ko
wo na aae intizaren aan pahunchi sham ko
mai-kade ki saqi-e-mastan ke dam se hai bahaar
warna kya mai aur mina kya karenge jam ko
aagahi deti hai ek taza KHabar har gam pe
aur junun Thukraata jata hai har ek paigham ko
tum nahin loge KHabar ye ho chuka dil ko yaqin
de raha hai dil tasalli han mujhe bas nam ko
ulTe pawaun phir gai aaKHir hamare sahn se
jab diya unka hawala gardish-e-ayyam ko
wa’iz-e-nadan pe khul jae rah-e-’irfan ka bab
ba-adab gar dast-e-saqi se pakaD le jam ko
allah allah ye tasarruf ye bulandi ye kamal
do du’aen saqi-e-barkat ke faiz-e-'am ko
tha kabhi pahle ‘muzammil’ mubtala us shoKH ka
haye nakaami-e-ulfat ab raha bas nam ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.