chaman-e-mohabbat-o-ishq mein kai sal KHub faza rahi
chaman-e-mohabbat-o-ishq mein kai sal KHub faza rahi
Muztar Khairabadi
MORE BYMuztar Khairabadi
chaman-e-mohabbat-o-ishq meñ ka.ī saal ḳhuub fazā rahī
magar us ne aañkh jo pher lī na gul rahe na havā rahī
na idhar zauq-e-sitam rahā na udhar se shikva-e-ġham rahā
vo zamāna ḳhvāb sā ho gayā na jafā rahī na vafā rahī
ye huā natīja-e-āshiqī ke taḌap ke jaan nikal ga.ī
na vo ġham rahā na vo dam rahā na maraz rahā na davā rahī
jo zamāna pahle guzar gayā vo zamāna phir nahīñ aa sakā
mirī jaañ kisī ne ye sach kahā ki jahāñ meñ kis kī sadā rahī
ye zamāna 'muztar'-e-be-navā faqat ik ḳhvāb-o-ḳhayāl thā
ye miTā to kuchh bhī nahīñ rahā jo rahī to zāt-e-ḳhudā rahī
chaman-e-mohabbat-o-ishq mein kai sal KHub faza rahi
magar us ne aankh jo pher li na gul rahe na hawa rahi
na idhar zauq-e-sitam raha na udhar se shikwa-e-gham raha
wo zamana KHwab sa ho gaya na jafa rahi na wafa rahi
ye hua natija-e-ashiqi ke taDap ke jaan nikal gai
na wo gham raha na wo dam raha na maraz raha na dawa rahi
jo zamana pahle guzar gaya wo zamana phir nahīñ aa saka
meri jaan kisi ne ye sach kaha ki jahan mein kis ki sada rahi
ye zamana 'muztar'-e-be-nawa faqat ek KHwab-o-KHayal tha
ye miTa to kuchh bhi nahin raha jo rahi to zat-e-KHuda rahi
- Book : Khirman Part 1 (Pg. 369)
- Author : Muztar Khairabadi
- Publication : Jawed Ahmad (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.