dam-e-aKHir musibat kaT do bahar-e-KHuda meri
dam-e-āḳhir musībat kaaT do bahar-e-ḳhudā merī
tum aa kar dard ke parde meñ kar jaao davā merī
mohabbat but-kade meñ chal ke us kā faisla kar de
ḳhudā merā ḳhudā merā hai yā ye mūrat hai ḳhudā merī
yahāñ se jab ga.ī thī tab asar par ḳhaar khaa.e thī
vahāñ se phuul barsātī huī palTī duā merī
muqayyad ho ke lutf-e-hastī-e-āzād bhī khoyā
vo kyā thī ibtidā merī vo kyā thī intihā merī
miyān-e-hashr meñ ye kāfir bahut itrā.e phirte haiñ
mazā aa jaa.e aise meñ agar sun le ḳhudā merī
kisī kā jalva-e-rañgīñ ye kahtā hai inheñ puujo
ye us patthar ke but haiñ jis pe pistī thī hinā merī
na jaane kaun se yūsuf kā jalva mujh meñ pinhāñ hai
zuleḳhā aaj tak kartī hai 'muztar' iltijā merī
dam-e-aKHir musibat kaT do bahar-e-KHuda meri
tum aa kar dard ke parde mein kar jao dawa meri
mohabbat but-kade mein chal ke us ka faisla kar de
KHuda mera KHuda mera hai ya ye murat hai KHuda meri
yahan se jab gai thi tab asar par KHar khae thi
wahan se phul barsati hui palTi dua meri
muqayyad ho ke lutf-e-hasti-e-azad bhi khoya
wo kya thi ibtida meri wo kya thi intiha meri
miyan-e-hashr mein ye kafir bahut itrae phirte hain
maza aa jae aise mein agar sun le KHuda meri
kisi ka jalwa-e-rangin ye kahta hai inhen pujo
ye us patthar ke but hain jis pe pisti thi hina meri
na jaane kaun se yusuf ka jalwa mujh mein pinhan hai
zuleKHa aaj tak karti hai 'muztar' iltija meri
- Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 75)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.