masruf-e-shukr-e-neamat-e-pir-e-mughan rahun
masrūf-e-shukr-e-ne.amat-e-pīr-e-muġhāñ rahūñ
allāh mujh ko yuuñ hī pilā.e jahāñ rahūñ
zer-e-zamīñ rahūñ ki tah-e-āsmāñ rahūñ
ai justujū-e-yār batā maiñ kahāñ rahūñ
zālim ye bazm-e-husn kā achchhā rivāj hai
tū sham.a ho ke bhī na jale maiñ tapāñ rahūñ
shakloñ se rasm-e-rashk-e-raqābat fuzūl hai
hastī jab ek hī hai to kyuuñ bad-gumāñ rahūñ
ban jaa.eñ mirī tarz-e-vafā kī kahāniyāñ
aisā miTā ki sāhabt-e-nām-o-nishāñ rahūñ
āb-e-hayāt pī ke ḳhizr kyā yahāñ rahe
maiñ Thaan luuñ to kuchh na piyūñ aur yahāñ rahūñ
ai chashm-e-yār maut kā pahlū bachā ke tū
aisī nigāh Daal ki maiñ nīm-jāñ rahūñ
'muztar' vajūd-e-zāt ne ghar tak bhī le liyā
jab ḳhud vo har jagah hai to ab maiñ kahāñ rahūñ
masruf-e-shukr-e-neamat-e-pir-e-mughan rahun
allah mujh ko yun hi pilae jahan rahun
zer-e-zamin rahun ki tah-e-asman rahun
ai justuju-e-yar bata main kahan rahun
zalim ye bazm-e-husn ka achchha riwaj hai
tu shama ho ke bhi na jale main tapan rahun
shaklon se rasm-e-rashk-e-raqabat fuzul hai
hasti jab ek hi hai to kyun bad-guman rahun
ban jaen meri tarz-e-wafa ki kahaniyan
aisa miTa ki sahabt-e-nam-o-nishan rahun
aab-e-hayat pi ke KHizr kya yahan rahe
main Than lun to kuchh na piyun aur yahan rahun
ai chashm-e-yar maut ka pahlu bacha ke tu
aisi nigah Dal ki main nim-jaan rahun
'muztar' wajud-e-zat ne ghar tak bhi le liya
jab KHud wo har jagah hai to ab main kahan rahun
- Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 75)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.