nazar bhar kar wo husn-e-parda-dar dekha nahin jata
nazar bhar kar wo husn-e-parda-dar dekha nahin jata
Muztar Khairabadi
MORE BYMuztar Khairabadi
nazar bhar kar vo husn-e-parda-dar dekhā nahīñ jaatā
bahut chāhā ki maiñ dekhūñ magar dekhā nahīñ jaatā
dil apnā maiñ ne sadqe kar diyā hai jis kī nazroñ par
qayāmat hai ki us se ik nazar dekhā nahīñ jaatā
vo qudrat ke namūne kyā hue jo us meñ pahle the
maiñ ka.aba kyā karūñ mujh se ye ghar dekhā nahīñ jaatā
tamanna-e-visāl-e-yār meñ ham mar-miTe 'muztar'
magar ab tak duāoñ meñ asar dekhā nahīñ jaatā
nazar bhar kar wo husn-e-parda-dar dekha nahin jata
bahut chaha ki main dekhun magar dekha nahin jata
dil apna main ne sadqe kar diya hai jis ki nazron par
qayamat hai ki us se ek nazar dekha nahin jata
wo qudrat ke namune kya hue jo us mein pahle the
main kaba kya karun mujh se ye ghar dekha nahin jata
tamanna-e-visal-e-yar mein hum mar-miTe 'muztar'
magar ab tak duaon mein asar dekha nahin jata
- Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 76)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.