teri rangat bahaar se nikli
terī rañgat bahār se niklī
phuuT kar lāla-zār se niklī
dil jo dhoyā to tū nazar aayā
kyā hī sūrat ġhubār se niklī
chheḌ kar aazmā liyā ham ne
terī āvāz taar se niklī
muft barbād hai mirī hasrat
kyuuñ dil-e-be-qarār se niklī
bahr-e-tāzīm hashr barpā hai
kis kī mayyat mazār se niklī
jān-e-'muztar' terī mohabbat meñ
kyā hī sabr-o-qarār se niklī
teri rangat bahaar se nikli
phuT kar lala-zar se nikli
dil jo dhoya to tu nazar aaya
kya hi surat ghubar se nikli
chheD kar aazma liya hum ne
teri aawaz tar se nikli
muft barbaad hai meri hasrat
kyun dil-e-be-qarar se nikli
bahr-e-tazim hashr barpa hai
kis ki mayyat mazar se nikli
jaan-e-'muztar' teri mohabbat mein
kya hi sabr-o-qarar se nikli
- Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 76)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.