miT gaya dil to teri mauj ka naqsha dekha
miT gayā dil to terī mauj kā naqshā dekhā
ham ne miTTī se ubalte hue dariyā dekhā
ḳhalvat-e-ḳhās meñ milne ko kahā thā tū ne
ham ne barsoñ tahe-madfan terā rastā dekhā
ham ne har shakl se achchhī terī sūrat paa.ī
ham ne har naqsh se achchhā terā naqshā dekhā
mujh ko mil jaaye to tadbīr-e-tasallī pūchhūñ
tū ne jis aañkh se āshiq kā taḌapnā dekhā
yaad rakhnā chaman-e-dahr kī bāteñ 'muztar'
hashr meñ pūchh na baiThe ki kaho kyā dekhā
miT gaya dil to teri mauj ka naqsha dekha
hum ne miTTi se ubalte hue dariya dekha
KHalwat-e-KHas mein milne ko kaha tha tu ne
hum ne barson tahe-madfan tera rasta dekha
hum ne har shakl se achchhi teri surat pai
hum ne har naqsh se achchha tera naqsha dekha
mujh ko mil jaye to tadbir-e-tasalli puchhun
tu ne jis aankh se aashiq ka taDapna dekha
yaad rakhna chaman-e-dahr ki baaten 'muztar'
hashr mein puchh na baiThe ki kaho kya dekha
- Book : Khirman Part - 2 (Pg. 161)
- Author : Muztar Khairabadi
- Publication : Jawed Akhtar (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.