Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

be-mange hue milte saghar ko yahin dekha

Muztar Khairabadi

be-mange hue milte saghar ko yahin dekha

Muztar Khairabadi

MORE BYMuztar Khairabadi

    be-māñge hue milte sāġhar ko yahīñ dekhā

    saaqī saḳhī daatā ham ne to nahīñ dekhā

    ik naqsh hastī meñ sab zer-e-nagīñ dekhā

    but-ḳhāna jahāñ paayā ka.aba bhī vahīñ dekhā

    maiḳhāne se uThne ġham mujh ko nahīñ lekin

    hasrat hai to itnī hai saaqī ko nahīñ dekhā

    āñkheñ to hamesha se jalve shanāsā haiñ

    ab aa ke yahāñ jaanā pahle to vahīñ dekhā

    ḳhāk-e-dar-e-jānāna ham ne tere sadqe meñ

    chāhat ke faqīroñ ko sandal ba-jabīñ dekhā

    āñkhoñ faqat honā duniyā meñ nahīñ kaafī

    nargis bhī āñkheñ thiiñ aur kuchh bhī nahīñ dekhā

    ai ruuh tah-e-madfan ke phir aa.ī hai

    itnā to batātī us ko bhī kahīñ dekhā

    āh-e-dil-e-muztar ne kuchh aisī havā bāñdhī

    be-parda tujhe ham ne o parda-nashīñ dekhā

    be-mange hue milte saghar ko yahin dekha

    saqi sa saKHi data hum ne to nahin dekha

    ek naqsh ki hasti mein sab zer-e-nagin dekha

    but-KHana jahan paya kaba bhi wahin dekha

    maiKHane se uThne ka gham mujh ko nahin lekin

    hasrat hai to itni hai saqi ko nahin dekha

    aankhen to hamesha se jalwe ki shanasa hain

    ab aa ke yahan jaana pahle to wahin dekha

    KHak-e-dar-e-jaanana hum ne tere sadqe mein

    chahat ke faqiron ko sandal ba-jabin dekha

    aankhon ka faqat hona duniya mein nahin kafi

    nargis ki bhi aankhen thin aur kuchh bhi nahin dekha

    ai ruh tah-e-madfan tu ja ke phir aai hai

    itna to batati ja us ko bhi kahin dekha

    aah-e-dil-e-muztar ne kuchh aisi hawa bandhi

    be-parda tujhe hum ne o parda-nashin dekha

    Source :
    • Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 77)
    • Publication : Fine Books Printers (1993)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now