hasti ko miTa Dala tab itni samajh aai
hastī ko miTā Daalā tab itnī samajh aa.ī
dānā.ī hai nādānī hai nādānī hai dānā.ī
ye baat mohabbat ne ik din mujhe samjhā.ī
tū ḳhud hai ḳhudā apnā parda hai ḳhud-ārā.ī
ulfat ne mujhe terā ā.īna banā Daalā
ḳhud-bīnī kī ḳhud-bīnī yaktā.ī kī yaktā.ī
mar kar bhī tah-e-madfan amboh-e-tamannā hai
hañgāme kā hañgāma tanhā.ī kī tanhā.ī
naqqāsh-e-tasavvur se tasvīr to khichvā le
ab sone kā vaqt aayā ai chashm-e-tamannā.ī
'muztar' ye ḳhudā vaale mar kar bhī jilāte haiñ
madfan se huvaidā haiñ āsār-e-masīhā.ī
hasti ko miTa Dala tab itni samajh aai
danai hai nadani hai nadani hai danai
ye baat mohabbat ne ek din mujhe samjhai
tu KHud hai KHuda apna parda hai KHud-arai
ulfat ne mujhe tera aaina bana Dala
KHud-bini ki KHud-bini yaktai ki yaktai
mar kar bhi tah-e-madfan amboh-e-tamannā hai
hangame ka hangama tanhai ki tanhai
naqqash-e-tasawwur se taswir to khichwa le
ab sone ka waqt aaya ai chashm-e-tamannai
'muztar' ye KHuda wale mar kar bhi jilate hain
madfan se huwaida hain aasar-e-masihai
- Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 78)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.