bagh se daur-e-KHizan sar jo Tapakta nikla
baaġh se daur-e-ḳhizāñ sar jo Tapaktā niklā
qalb-e-bulbul ne ye jaanā merā kāñTā niklā
tere tīroñ kī mudārāt meñ ġhaflat na huī
chhin gayā qalb to chhidne ko kaleja niklā
Duub jaane kī hidāyat jo kabhī mauj ne dī
aañkh dene ko habāb-e-lab-e-dariyā niklā
ātish-e-soz-e-mohabbat ne jalāyā thā jise
vo kaleja tere paanī se bhī ThanDā niklā
jaan paate hī qayāmat meñ terī yaad aa.ī
merā lāsha mirī turbat se taḌaptā niklā
jaate jaate bhī baḌā saath nibāhā 'muztar'
tiir ke saath hī siine se kaleja niklā
bagh se daur-e-KHizan sar jo Tapakta nikla
qalb-e-bulbul ne ye jaana mera kanTa nikla
tere tiron ki mudaraat mein ghaflat na hui
chhin gaya qalb to chhidne ko kaleja nikla
Dub jaane ki hidayat jo kabhi mauj ne di
aankh dene ko habab-e-lab-e-dariya nikla
aatish-e-soz-e-mohabbat ne jalaya tha jise
wo kaleja tere pani se bhi ThanDa nikla
jaan pate hi qayamat mein teri yaad aai
mera lasha meri turbat se taDapta nikla
jate jate bhi baDa sath nibaha 'muztar'
tir ke sath hi sine se kaleja nikla
- Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 77)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.