dard minnat-kash-e-darman-e-masiha na hua
dard minnat-kash-e-darmān-e-masīhā na huā
terā ehsān hai yārab ki maiñ achchhā na huā
merī miTTī bhī mohabbat kī havā meñ uḌ jaaye
tab maiñ samjhūñgā ki ḳhāk-e-dar-e-jānāna huā
mai-kada duur hai maiñ zaar huuñ saaqī hai ḳhafā
haaye kis vaqt meñ ḳhālī mirā paimāna huā
tere bīmār kī shorīda-sarī miT na sakī
sar paTaktī rahī duniyā magar achchhā na huā
na ḳhud aayā na shab-e-hijr qazā ko bhejā
bevafā ek bhī va.ada tirā puurā na huā
haaye gulzār-e-tamannā kī tabāhī 'muztar'
phuul to phuul koī ḳhaar bhī paidā na huā
dard minnat-kash-e-darman-e-masiha na hua
tera ehsan hai yarab ki main achchha na hua
meri miTTi bhi mohabbat ki hawa mein uD jaye
tab main samjhunga ki KHak-e-dar-e-jaanana hua
mai-kada dur hai main zar hun saqi hai KHafa
haye kis waqt mein KHali mera paimana hua
tere bimar ki shorida-sari miT na saki
sar paTakti rahi duniya magar achchha na hua
na KHud aaya na shab-e-hijr qaza ko bheja
bewafa ek bhi wada tera pura na hua
haye gulzar-e-tamanna ki tabahi 'muztar'
phul to phul koi KHar bhi paida na hua
- Book : Khirman Part - 2 (Pg. 155)
- Author : Muztar Khairabadi
- Publication : Jawed Ahmad (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.