junun ke josh mein insan ruswa ho hi jata hai
junūñ ke josh meñ insāñ rusvā ho hī jaatā hai
garebāñ phāḌne se faash pardā ho hī jaatā hai
mohabbat ḳhauf-e-rusvā.ī kā baa.is ban hī jaatī hai
tarīq-e-ishq meñ apnoñ se pardā ho hī jaatā hai
javānī vasl kī lazzat pe rāġhib kar hī detī hai
tumheñ is baat kā ġham kyuuñ ne aisā ho hī jaatā hai
bigaḌte kyuuñ ho aapas meñ shikāyat kar hī lete haiñ
adū kā tazkira dushman kā charchā ho hī jaatā hai
tumhārī nargis-e-bīmār achchhā kar hī detī hai
jise tum dekh lete ho vo achchhā ho hī jaatā hai
akelā pā ke un ko arz-e-matlab kar hī letā huuñ
na chāhūñ to bhī iz.hār-e-tamannā ho hī jaatā hai
mirā dāvā-e-ishq aġhyār-e-bātil kar hī dete haiñ
jise jhūTā banā leñ chaar jhūTā ho hī jaatā hai
butān-e-be-vafā 'muztar' dil-o-dīñ le hī lete haiñ
tumhīñ par kuchh nahīñ mauqūf aisā ho hī jaatā hai
junun ke josh mein insan ruswa ho hi jata hai
gareban phaDne se fash parda ho hi jata hai
mohabbat KHauf-e-ruswai ka bais ban hi jati hai
tariq-e-ishq mein apnon se parda ho hi jata hai
jawani wasl ki lazzat pe raghib kar hi deti hai
tumhein is baat ka gham kyun ne aisa ho hi jata hai
bigaDte kyun ho aapas mein shikayat kar hi lete hain
adu ka tazkira dushman ka charcha ho hi jata hai
tumhaari nargis-e-bimar achchha kar hi deti hai
jise tum dekh lete ho wo achchha ho hi jata hai
akela pa ke un ko arz-e-matlab kar hi leta hun
na chahun to bhi izhaar-e-tamanna ho hi jata hai
mera dawa-e-ishq aghyar-e-baatil kar hi dete hain
jise jhuTa bana len chaar jhuTa ho hi jata hai
butan-e-be-wafa 'muztar' dil-o-din le hi lete hain
tumhin par kuchh nahin mauquf aisa ho hi jata hai
- Book : Khirman Part 1 (Pg. 87)
- Author : Muztar Khairabadi
- Publication : Jawed Akhtar (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.