na kisi ki aankh ka nur hun na kisi ke dil ka qarar hun
na kisi ki aankh ka nur hun na kisi ke dil ka qarar hun
Muztar Khairabadi
MORE BYMuztar Khairabadi
Interesting Fact
(جو کسی کے کام نہ آ سکے میں وہ ایک مشت غبار ہوں) (یہ مصرع یوں بھی پڑھا جاتا ہے)
na kisī kī aañkh kā nuur huuñ na kisī ke dil kā qarār huuñ
kisī kaam meñ jo na aa sakī maiñ vo ek musht-e-ġhubār huuñ
na davā-e-dard-e-jigar huuñ maiñ na kisī kī mīThī nazar huuñ maiñ
na idhar huuñ maiñ na idhar huuñ maiñ na shakeb huuñ na qarār huuñ
mirā vaqt mujh se bichhaḌ gayā mirā rañg-rūp bigaḌ gayā
jo ḳhizāñ se baaġh ujaḌ gayā maiñ usī kī fasl-e-bahār huuñ
pai fātiha koī aa.e kyuuñ koī chaar phuul chaḌhā.e kyuuñ
koī sham.a lā ke jalā.e kyuuñ ki maiñ be-kasī kā mazār huuñ
na maiñ laag huuñ na lagāv huuñ na suhāg huuñ na subhāv huuñ
jo bigaḌ gayā vo banāv huuñ jo nahīñ rahā vo siñgār huuñ
maiñ nahīñ huuñ naġhma-e-jāñ-fizā mujhe aap sun ke kareñge kyā
maiñ baḌe birog kī huuñ sadā maiñ baḌe dukhī kī pukār huuñ
na maiñ 'muztar' un kā habīb huuñ na maiñ 'muztar' un kā raqīb huuñ
jo bigaḌ gayā vo nasīb huuñ jo ujaḌ gayā vo dayār huuñ
na kisi ki aankh ka nur hun na kisi ke dil ka qarar hun
kisi kaam mein jo na aa saki main wo ek musht-e-ghubar hun
na dawa-e-dard-e-jigar hun main na kisi ki miThi nazar hun main
na idhar hun main na idhar hun main na shakeb hun na qarar hun
mera waqt mujh se bichhaD gaya mera rang-rup bigaD gaya
jo KHizan se bagh ujaD gaya main usi ki fasl-e-bahaar hun
pai fatiha koi aae kyun koi chaar phul chaDhae kyun
koi shama la ke jalae kyun ki main be-kasi ka mazar hun
na main lag hun na lagaw hun na suhag hun na subhaw hun
jo bigaD gaya wo banaw hun jo nahin raha wo singar hun
main nahin hun naghma-e-jaan-fiza mujhe aap sun ke karenge kya
main baDe birog ki hun sada main baDe dukhi ki pukar hun
na main 'muztar' un ka habib hun na main 'muztar' un ka raqib hun
jo bigaD gaya wo nasib hun jo ujaD gaya wo dayar hun
- Book : Khirman Part 1 (Pg. 95)
- Author : Muztar Khairabadi
- Publication : Jawed Akhtar (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.