Sufinama

jafa ki baaten sada banana wafa ki baaten kabhi na karna

Muztar Khairabadi

jafa ki baaten sada banana wafa ki baaten kabhi na karna

Muztar Khairabadi

MORE BYMuztar Khairabadi

    jafā bāteñ sadā banānā vafā bāteñ kabhī na karnā

    ḳhudā ke ghar meñ kamī nahīñ hai kiye meñ apne kamī na karnā

    kahīñ jo bulbul ne dekh paayā to merī us nahīñ banegī

    chaman meñ jaane ko rose jaao magar guloñ se hañsī na karnā

    ba-vaqt-e-qaul-o-qarār un ko nazākat un sujhā rahī hai

    vafā va.ada to ḳhair kar lo vafā-e-va.ada kabhī na karnā

    nahīñ ye kahtā maiñ tujh se qāsid ki un se be-vaqt haal kah de

    magar jo pahlū nazar se guzre to us se pahlū-tahī na karnā

    hamārī turbat pe tum jo aanā to saath aġhyār ko na laanā

    ḳhushī ke sadme hameñ na denā hamāre ġham ḳhushī na karnā

    pas-e-fanā maiñ ye chāhtā huuñ ki merī turbat pe koī likh de

    ki is taraf se guzarne vaalo kisī se tum dostī na karnā

    jafa ki baaten sada banana wafa ki baaten kabhi na karna

    KHuda ke ghar mein kami nahin hai kiye mein apne kami na karna

    kahin jo bulbul ne dekh paya to meri us ki nahin banegi

    chaman mein jaane ko rose jao magar gulon se hansi na karna

    ba-waqt-e-qaul-o-qarar un ko nazakat un ki sujha rahi hai

    wafa ka wada to KHair kar lo wafa-e-wada kabhi na karna

    nahin ye kahta main tujh se qasid ki un se be-waqt haal kah de

    magar jo pahlu nazar se guzre to us se pahlu-tahi na karna

    hamari turbat pe tum jo aana to sath aghyar ko na lana

    KHushi ke sadme hamein na dena hamare gham ki KHushi na karna

    pas-e-fana main ye chahta hun ki meri turbat pe koi likh de

    ki is taraf se guzarne walo kisi se tum dosti na karna

    Source :
    • Book : Khirman Part 1 (Pg. 119)
    • Author : Muztar Khairabadi
    • Publication : Jawed Akhtar (2015)
    • Edition : 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now