Thaharna dil mein kuchh behtar na jaana
Thaharnā dil meñ kuchh behtar na jaanā
bhare ghar ko unhoñ-ne ghar na jaanā
ham ab kyuuñ saḳhtiyoñ par ro rahe haiñ
butoñ ko pahle kyuuñ patthar na jaanā
vabāl ab ishq meñ vo zindagī hai
jise ham ne kabhī dūbhar na jaanā
zabāñ rakhne ko kyā rakhte na the ham
magar shikva tirā behtar na jaanā
adāvat kī banā.eñ paḌ rahī haiñ
mohabbat par dil-e-'muztar' na jaanā
maiñ samjhā us ko vaj.h-e-iztirābī
magar us ne mujhe 'muztar' na jaanā
Thaharna dil mein kuchh behtar na jaana
bhare ghar ko unhon-ne ghar na jaana
hum ab kyun saKHtiyon par ro rahe hain
buton ko pahle kyun patthar na jaana
wabaal ab ishq mein wo zindagi hai
jise hum ne kabhi dubhar na jaana
zaban rakhne ko kya rakhte na the hum
magar shikwa tera behtar na jaana
adawat ki banaen paD rahi hain
mohabbat par dil-e-'muztar' na jaana
main samjha us ko wajh-e-iztirabi
magar us ne mujhe 'muztar' na jaana
- Book : Khirman Part 1 (Pg. 172)
- Author : Muztar Khairabadi
- Publication : Jawed Akhtar (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.