kisi but ki ada ne mar Dala
kisī but kī adā ne maar Daalā
bahāne se ḳhudā ne maar Daalā
jafā kī jaan ko sab ro rahe haiñ
mujhe un kī vafā ne maar Daalā
judā.ī meñ na aanā thā na aa.ī
mujhe zālim qazā ne maar Daalā
musībat aur lambī zindagānī
buzurgoñ kī duā ne maar Daalā
unhīñ āñkhoñ se jiinā chāhtā huuñ
jin āñkhoñ kī hayā ne maar Daalā
hamārā imtihāñ aur kū-e-dushman
kisī ne be-Thikāne maar Daalā
paḌā huuñ is tarah us dar pe 'muztar'
koī dekhe to jaane maar Daalā
kisi but ki ada ne mar Dala
bahane se KHuda ne mar Dala
jafa ki jaan ko sab ro rahe hain
mujhe un ki wafa ne mar Dala
judai mein na aana tha na aai
mujhe zalim qaza ne mar Dala
musibat aur lambi zindagani
buzurgon ki dua ne mar Dala
unhin aankhon se jina chahta hun
jin aankhon ki haya ne mar Dala
hamara imtihan aur ku-e-dushman
kisi ne be-Thikane mar Dala
paDa hun is tarah us dar pe 'muztar'
koi dekhe to jaane mar Dala
- Book : Khirman Part 1 (Pg. 181)
- Author : Muztar Khairabadi
- Publication : Jawed Akhtar (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.