tabiat jo sabr-azma ho gai
tabī.at jo sabr-āzmā ho ga.ī
jafā rafta rafta vafā ho ga.ī
lagāte hī dil mujh ko marnā paḌā
mirī ibtidā intihā ho ga.ī
bane jab se dushman kā tum lutf-e-zīst
mirī zindagī be-mazā ho ga.ī
namūna huuñ maiñ dahr ke haal kā
ḳhudā.ī mirā mājrā ho ga.ī
nazar jab se terī phirī bevafā
muqaddar kī gardish sivā ho ga.ī
lage har taraf haiñ shahīdoñ ke Dher
kisī kī galī karbalā ho ga.ī
udhar maut se us ne kuchh kah diyā
idhar zindagī bevafā ho ga.ī
butoñ ke liye sab jale aag meñ
jahannam pe jannat fidā ho ga.ī
azīzoñ se ummīd 'muztar' fuzūl
tavaqqo.a kī duniyā fanā ho ga.ī
tabiat jo sabr-azma ho gai
jafa rafta rafta wafa ho gai
lagate hi dil mujh ko marna paDa
meri ibtida intiha ho gai
bane jab se dushman ka tum lutf-e-zist
meri zindagi be-maza ho gai
namuna hun main dahr ke haal ka
KHudai mera majra ho gai
nazar jab se teri phiri bewafa
muqaddar ki gardish siwa ho gai
lage har taraf hain shahidon ke Dher
kisi ki gali karbala ho gai
udhar maut se us ne kuchh kah diya
idhar zindagi bewafa ho gai
buton ke liye sab jale aag mein
jahannam pe jannat fida ho gai
azizon se ummid 'muztar' fuzul
tawaqqoa ki duniya fana ho gai
- Book : Khirman Part 1 (Pg. 244)
- Author : Muztar Khairabadi
- Publication : Jawed Akhtar (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.