dil gaya aur dil ke badle dard-mandi rah gai
dil gayā aur dil ke badle dard-mandī rah ga.ī
saare armāñ miT ga.e hasrat taḌaptī rah ga.ī
merī turbat yādgār-e-bāġh-e-hastī rah ga.ī
maiñ to bilkul miT gayā miTTī hī miTTī rah ga.ī
tishna-lab chhoḌā mujhe qātil ne vaqt-e-imtihāñ
ruuh merī āb-e-ḳhanjar ko tarastī rah ga.ī
koī bhī dam-bhar na Thahrā dafn kar dene ke ba.ad
laane vaale chal diye turbat akelī rah ga.ī
zindagī kā din hai chhoTā aur tumheñ jaanā hai duur
'muztar' ab bistar uThāo raat thoḌī rah ga.ī
dil gaya aur dil ke badle dard-mandi rah gai
sare arman miT gae hasrat taDapti rah gai
meri turbat yaadgar-e-bagh-e-hasti rah gai
main to bilkul miT gaya miTTi hi miTTi rah gai
tishna-lab chhoDa mujhe qatil ne waqt-e-imtihan
ruh meri aab-e-KHanjar ko tarasti rah gai
koi bhi dam-bhar na Thahra dafn kar dene ke baad
lane wale chal diye turbat akeli rah gai
zindagi ka din hai chhoTa aur tumhein jaana hai dur
'muztar' ab bistar uThao raat thoDi rah gai
- Book : Khirman Part 1 (Pg. 299)
- Author : Muztar Khairabadi
- Publication : Jawed Akhtar (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.