nazar jis ki paDi usne pai-e-sajda jabin rakh di
nazar jis kī paḌī us ne pai-e-sajda jabīñ rakh dī
ye kaisī dilkashī us but meñ sūrat-āfrīñ rakh dī
dar-e-dildār par na.ash-e-dil-e-andohgīñ rakh dī
vahīñ kī ḳhaak thī is vāste maiñ ne vahīñ rakh dī
nishānī chhoḌ aayā chāk-e-pairāhan kī kāñToñ par
kisī par jeb rakh dī aur kisī par āstīñ rakh dī
ye vo badlā hai sañg-e-āstāñ kī jabha-sā.ī kā
ki aa.e aur merī qabr par apnī jabīñ rakh dī
musībat jaan de kar ḳhatm kar dī kū-e-jānāñ meñ
jahāñ se ye amānat le ke aayā thā vahīñ rakh dī
ġhubār-e-rāh-e-ulfat kar ke uupar hī bulā letā
ilāhī na.ash-e-'muztar' tū ne kyuuñ zer-e-zamīñ rakh dī
nazar jis ki paDi us ne pai-e-sajda jabin rakh di
ye kaisi dilkashi us but mein surat-afrin rakh di
dar-e-dildar par nash-e-dil-e-andohgin rakh di
wahin ki KHak thi is waste main ne wahin rakh di
nishani chhoD aaya chaak-e-pairahan ki kanTon par
kisi par jeb rakh di aur kisi par aastin rakh di
ye wo badla hai sang-e-astan ki jabha-sai ka
ki aae aur meri qabr par apni jabin rakh di
musibat jaan de kar KHatm kar di ku-e-jaanan mein
jahan se ye amanat le ke aaya tha wahin rakh di
ghubar-e-rah-e-ulfat kar ke upar hi bula leta
ilahi nash-e-'muztar' tu ne kyun zer-e-zamin rakh di
- Book : Khirman Part 1 (Pg. 392)
- Author : Muztar Khairabadi
- Publication : Jawed Akhtar (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.