doi ja ke rang-e-safa rah gaya
doī jā ke rañg-e-safā rah gayā
ḳhudī miTte miTte ḳhudā rah gayā
nazar phir na palTī unheñ dekh kar
in āñkhoñ kā parda uThā rah gayā
ta.alluq to us gul se chhoḌā magar
kaleje meñ kāñTā chubhā rah gayā
maiñ ik zikr thā jis kī shohrat huī
vo ik bhed thā jo chhupā rah gayā
miTe par bhī un kī tamannā rahī
ta.alluq lagī kā lagā rah gayā
fanā ho ke shikve tire miT gayā
faqat zindagī kī gilā rah gayā
ye but jab jahannum meñ Daale ga.e
to phir terī jannat meñ kyā rah gayā
hasīnoñ ne qismat meñ islāh dī
nasīboñ kā likkhā dharā rah gayā
vo nākām huuñ sar mirā teġh se
judā hote hote judā rah gayā
mohabbat kī rāhoñ se 'muztar' nikal
yahāñ phañs ke jo rah gayā rah gayā
doi ja ke rang-e-safa rah gaya
KHudi miTte miTte KHuda rah gaya
nazar phir na palTi unhen dekh kar
in aankhon ka parda uTha rah gaya
talluq to us gul se chhoDa magar
kaleje mein kanTa chubha rah gaya
main ek zikr tha jis ki shohrat hui
wo ek bhed tha jo chhupa rah gaya
miTe par bhi un ki tamanna rahi
talluq lagi ka laga rah gaya
fana ho ke shikwe tere miT gaya
faqat zindagi ki gila rah gaya
ye but jab jahannum mein Dale gae
to phir teri jannat mein kya rah gaya
hasinon ne qismat mein islah di
nasibon ka likkha dhara rah gaya
wo nakaam hun sar mera tegh se
juda hote hote juda rah gaya
mohabbat ki rahon se 'muztar' nikal
yahan phans ke jo rah gaya rah gaya
- Book : Khirman Part 1 (Pg. 399)
- Author : Muztar Khairabadi
- Publication : Jawed Akhtar (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.