jo mai dil se piye koi to phir raKHne nahin rahte
jo mai dil se piye koi to phir raKHne nahin rahte
Muztar Khairabadi
MORE BYMuztar Khairabadi
jo mai dil se piye koī to phir raḳhne nahīñ rahte
zarā ye saaf kar lī jaaye phir tinke nahīñ rahte
hamārā mai-kada mahfūz hai tāsīr-e-mausam se
yahāñ shīshe bhare jāḌoñ meñ bhī ThanDe nahīñ rahte
sharāb-e-nāb ke piine se haañ itnā to hotā hai
paḌe rahte haiñ jo āñkhoñ pe vo parde nahīñ rahte
qayām-e-mai-kada ke vāste iqrār kyuuñ saaqī
pilā.egā to rah jā.eñge aur vaise nahīñ rahte
libās-e-zāhirī par mai se be-shak daaġh paḌte haiñ
magar piine se andar qalb ke dhabbe nahīñ rahte
nahīñ detā jo mai achchhā na de terī ḳhushī saaqī
pyāle kuchh hamesha taaq par rakhe nahīñ rahte
chhupā.e kis tarah zāhid se rāz-e-mai-kashī koī
ye hazrat mai-kashoñ kā haal be-pūchhe nahīñ rahte
namāzoñ se thake zāhid to mai-ḳhāne meñ aa jaanā
ye uThne-baiThe ke is jagah jhagḌe nahīñ rahte
ḳhudā ke dāman-e-rahmat se apnā dāman-e-isyāñ
ye kyā Tāñkegā jis ke aañkh meñ Dore nahīñ rahte
qayāmat meñ kahīñ mai-ḳhvār bhūke uThne vaale haiñ
jo is duniyā meñ us ke fazl se pyāse nahīñ rahte
ye kah kar ḳhāna-e-turbat se ham mai-kash nikal bhāge
vo ghar kyā ḳhaak patthar hai jahāñ shīshe nahīñ rahte
na karnā baat bhūle se bhī zāhid bāda-ḳhvāroñ se
ye be-Dhab aadmī haiñ naam be-pūchhe nahīñ rahte
hamāre mai-kade meñ ḳhair se har chiiz rahtī hai
magar ik tiis din ke vāste roze nahīñ rahte
vo aa.eñ to sahī mai-ḳhāna-e-ulfat meñ ai 'muztar'
na pahchāneñ unhaiñ behosh ham itne nahīñ rahte
jo mai dil se piye koi to phir raKHne nahin rahte
zara ye saf kar li jaye phir tinke nahin rahte
hamara mai-kada mahfuz hai tasir-e-mausam se
yahan shishe bhare jaDon mein bhi ThanDe nahin rahte
sharab-e-nab ke pine se han itna to hota hai
paDe rahte hain jo aankhon pe wo parde nahin rahte
qayam-e-mai-kada ke waste iqrar kyun saqi
pilaega to rah jaenge aur waise nahin rahte
libas-e-zahiri par mai se be-shak dagh paDte hain
magar pine se andar qalb ke dhabbe nahin rahte
nahin deta jo mai achchha na de teri KHushi saqi
pyale kuchh hamesha taq par rakhe nahin rahte
chhupae kis tarah zahid se raaz-e-mai-kashi koi
ye hazrat mai-kashon ka haal be-puchhe nahin rahte
namazon se thake zahid to mai-KHane mein aa jaana
ye uThne-baiThe ke is jagah jhagDe nahin rahte
KHuda ke daman-e-rahmat se apna daman-e-isyan
ye kya Tankega jis ke aankh mein Dore nahin rahte
qayamat mein kahin mai-KHwar bhuke uThne wale hain
jo is duniya mein us ke fazl se pyase nahin rahte
ye kah kar KHana-e-turbat se hum mai-kash nikal bhage
wo ghar kya KHak patthar hai jahan shishe nahin rahte
na karna baat bhule se bhi zahid baada-KHwaron se
ye be-Dhab aadmi hain nam be-puchhe nahin rahte
hamare mai-kade mein KHair se har chiz rahti hai
magar ek tis din ke waste roze nahin rahte
wo aaen to sahi mai-KHana-e-ulfat mein ai 'muztar'
na pahchanen unhain behosh hum itne nahin rahte
- Book : Khirman Part 1 (Pg. 407)
- Author : Muztar Khairabadi
- Publication : Jawed Akhtar (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.