wafadari ki surat mein jafa-kari ka naqsha tu
vafādārī kī sūrat meñ jafā-kārī kā naqshā tū
ye nairañg-e-mohabbat hai ki aisā maiñ huuñ vaisā tū
zamāna kaT gayā lekin vahī hālat hai donoñ kī
idhar jaise kā taisā maiñ udhar jaise kā taisā tū
jafā kar qahr kar jaur-o-sitam kar naaz bejā kar
magar ye soch rusvā kaun ho jā.egā maiñ yā tū
kise tāb-e-tajallī hai jo tujh ko barmalā dekhe
yahī parda bahut hai bas uThā de apnā pardā tū
mire dil ko bhī saaqī ārzū-e-bāda-noshī hai
ye sun sun kar ki ik kuuze meñ bhar detā hai dariyā tū
mohabbat rahnumā-e-shauq tujh se saikḌoñ sīkhe
maiñ kuchh un meñ nahīñ jin ko batā detī hai rastā tū
ḳhudā.ī tū ne paidā kī to tere kaam kyā aa.ī
akelā yuuñ bhī rahtā thā rahā yuuñ bhī akelā tū
qazā hañgām-e-āḳhir koī aatā hai ayādat ko
mire bālīñ se dam-bhar ke liye lillāh haT jā tū
mohabbat meñ sarāpā ārzū-dar-ārzū maiñ huuñ
tamannā dil mirā hai aur mire dil kī tamannā tū
vo aisā kaun thā jis ne kiyā badnām donoñ ko
diloñ kī baat yuuñ kah de na aisā maiñ na aisā tū
kamāl-e-nesthī se maiñ ne hastī kā patā paayā
pukārā maiñ ne apne-āp ko aur mujh meñ bolā tū
tire hī rañg-e-sūrat se ye sab naqshe chamakte haiñ
bigaḌ jā.eñgī sab shakleñ agar Dālegā pardā tū
bhalā ai ā.īne tū aur un kī shakl dekhegā
kahāñ chashm-e-tamāshā.ī kahāñ āñkhoñ kā andhā to
vo aisā tū ki tere saath maiñ badnām aalam meñ
vo aisā maiñ ki mere saath hai rusvā-e-duniyā tū
mirī hālat to jab badle ki aisā aur ko pā.ūñ
mirī āñkheñ to jab jāneñ dikhā de apnā jaisā tū
tujhī se naqsh-e-nākāmī meñ haiñ ummīd ke jalve
shab-e-ġham hai qazā ke bhes meñ merā masīhā tū
tire naqshe se har naqshā hai phir ye sharm kyā ma.anī
tirī sūrat se har sūrat hai kyuuñ kartā hai pardā tū
vajūd-e-zāt-e-vāhid hai to do-yaktā.iyāñ kaisī
idhar chāhat meñ yaktā maiñ udhar sūrat meñ yaktā tū
mirī chāhat tirī gāhak hai aur qīmat dil-e-'muztar'
tirā jalva mirā bāzār hai aur merā saudā tū
wafadari ki surat mein jafa-kari ka naqsha tu
ye nairang-e-mohabbat hai ki aisa main hun waisa tu
zamana kaT gaya lekin wahi haalat hai donon ki
idhar jaise ka taisa main udhar jaise ka taisa tu
jafa kar qahr kar jaur-o-sitam kar naz beja kar
magar ye soch ruswa kaun ho jaega main ya tu
kise tab-e-tajalli hai jo tujh ko barmala dekhe
yahi parda bahut hai bas uTha de apna parda tu
mere dil ko bhi saqi aarzu-e-baada-noshi hai
ye sun sun kar ki ek kuze mein bhar deta hai dariya tu
mohabbat rahnuma-e-shauq tujh se saikDon sikhe
main kuchh un mein nahin jin ko bata deti hai rasta tu
KHudai tu ne paida ki to tere kaam kya aai
akela yun bhi rahta tha raha yun bhi akela tu
qaza hangam-e-aKHir koi aata hai ayaadat ko
mere baalin se dam-bhar ke liye lillah haT ja tu
mohabbat mein sarapa aarzu-dar-arzu main hun
tamanna dil mera hai aur mere dil ki tamanna tu
wo aisa kaun tha jis ne kiya badnam donon ko
dilon ki baat yun kah de na aisa main na aisa tu
kamal-e-nesthi se main ne hasti ka pata paya
pukara main ne apne-ap ko aur mujh mein bola tu
tere hi rang-e-surat se ye sab naqshe chamakte hain
bigaD jaengi sab shaklen agar Dalega parda tu
bhala ai aaine tu aur un ki shakl dekhega
kahan chashm-e-tamashai kahan aankhon ka andha to
wo aisa tu ki tere sath main badnam aalam mein
wo aisa main ki mere sath hai ruswa-e-duniya tu
meri haalat to jab badle ki aisa aur ko paun
meri aankhen to jab jaanen dikha de apna jaisa tu
tujhi se naqsh-e-nakaami mein hain ummid ke jalwe
shab-e-gham hai qaza ke bhes mein mera masiha tu
tere naqshe se har naqsha hai phir ye sharm kya mani
teri surat se har surat hai kyun karta hai parda tu
wajud-e-zat-e-wahid hai to do-yaktaiyan kaisi
idhar chahat mein yakta main udhar surat mein yakta tu
meri chahat teri gahak hai aur qimat dil-e-'muztar'
tera jalwa mera bazar hai aur mera sauda tu
- Book : Khirman Part - 2 (Pg. 30)
- Author : Muztar Khairabadi
- Publication : Jawed Akhtar (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.