phunke deta hai kisi ka soz-e-pinhani mujhe
phūñke detā hai kisī kā soz-e-pinhānī mujhe
ab to merī aañkh bhī detī nahīñ paanī mujhe
maut se aur marte dam ho yuuñ pashemānī mujhe
itnā halkā kar na ai tarz-e-girāñ-jānī mujhe
marte dam karnī paḌī hai un kī mehmānī mujhe
saḳht mushkil ho ga.ī hai merī āsānī mujhe
bahr-e-ulfat degā lutf-e-soz-e-pinhānī mujhe
aag ke andar jalāne le chalā paanī mujhe
gor detī hai naved-e-rasm-e-mehmānī mujhe
ghar basāne le chalī hai merī vīrānī mujhe
khīñchne de zahmat-e-chāh-e-zanaḳhdānī mujhe
ai muqaddar kuchh dinoñ bharne de ye paanī mujhe
sīñchtī hai ulfat-e-chāh-e-zanaḳhdānī mujhe
de rahā hai mere yūsuf kā kuaañ paanī mujhe
vaqt-e-āḳhir yaad hai saaqī kī mehmānī mujhe
marte marte de diyā añgūr kā paanī mujhe
vo mirī sūrat to dekheñ apnī sūrat ke liye
kaash ā.īna banā de merī hairānī mujhe
kaT gayā hai vasl se pahle zamāna umr kā
haaye dhokā de gayā bahtā huā paanī mujhe
dāman-e-sahrā se lūñgā mar ke vahshat meñ kafan
ik nayā joḌā panhā.egī ye uryānī mujhe
mire gul ko lā ye apne phuul le jā andalīb
aise kāñToñ se nahīñ fāñseñ nikalvānī mujhe
tum agar chāho to miTTī se abhī paidā hoñ phuul
maiñ agar māñgūñ to dariyā bhī na de paanī mujhe
tishna-kāmī is ko kahte haiñ ki bahr-e-ishq meñ
maiñ agar utrūñ to uupar pheñk de paanī mujhe
aisī mushkil tum ne Daalī hai ki jab mar jā.ūñgā
muddatoñ royā karegī merī āsānī mujhe
phunke deta hai kisi ka soz-e-pinhani mujhe
ab to meri aankh bhi deti nahin pani mujhe
maut se aur marte dam ho yun pashemani mujhe
itna halka kar na ai tarz-e-giran-jaani mujhe
marte dam karni paDi hai un ki mehmani mujhe
saKHt mushkil ho gai hai meri aasani mujhe
bahr-e-ulfat dega lutf-e-soz-e-pinhani mujhe
aag ke andar jalane le chala pani mujhe
gor deti hai nawed-e-rasm-e-mehmani mujhe
ghar basane le chali hai meri virani mujhe
khinchne de zahmat-e-chah-e-zanaKHdani mujhe
ai muqaddar kuchh dinon bharne de ye pani mujhe
sinchti hai ulfat-e-chah-e-zanaKHdani mujhe
de raha hai mere yusuf ka kuan pani mujhe
waqt-e-aKHir yaad hai saqi ki mehmani mujhe
marte marte de diya angur ka pani mujhe
wo meri surat to dekhen apni surat ke liye
kash aaina bana de meri hairani mujhe
kaT gaya hai wasl se pahle zamana umr ka
haye dhoka de gaya bahta hua pani mujhe
daman-e-sahra se lunga mar ke wahshat mein kafan
ek naya joDa panhaegi ye uryani mujhe
mere gul ko la ye apne phul le ja andalib
aise kanTon se nahin fansen nikalwani mujhe
tum agar chaho to miTTi se abhi paida hon phul
main agar mangun to dariya bhi na de pani mujhe
tishna-kaami is ko kahte hain ki bahr-e-ishq mein
main agar utrun to upar phenk de pani mujhe
aisi mushkil tum ne Dali hai ki jab mar jaunga
muddaton roya karegi meri aasani mujhe
- Book : Khirman Part - 2 (Pg. 38)
- Author : Muztar Khairabadi
- Publication : Jawed Akhtar (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.