na jaane kaisi gaDi hui hai na jaane kaisi lagi hui hai
na jaane kaisi gaDi hui hai na jaane kaisi lagi hui hai
Muztar Khairabadi
MORE BYMuztar Khairabadi
na jaane kaisī gaḌī huī hai na jaane kaisī lagī huī hai
vo terī chuTkī se bhī na niklī jo phāñs dil meñ chhabī huī hai
ilāhī jānoñ kī ḳhair karnā vo teġh-e-abrū khīñchī huī hai
kisī kī āñkhoñ kā sāmnā hai qazā kī khiḌkī khulī huī hai
tumhāre talvoñ ke aarzū meñ pisī huī hai ghulī huī hai
hinā kī sarsabz pattiyoñ meñ jo laal rañgat chhipī huī hai
bigāḌ qismat kā kyā batā.ūñ jo saath mere lagī huī hai
kahīñ kahīñ se kaTī huī hai kahīñ kahīñ se miTī huī hai
vo naujavānī kahāñ se aa.e jo daaġh de kar ga.ī huī hai
zamīñ pe kyuuñ kar use utārūñ jo dhuup koThe chaḌhī huī hai
hamāre ḳhūn-e-vafā kī rañgat nazar meñ nāhaq jamī huī hai
lahū meñ phir apne haath bharnā abhī to mehñdī rachī huī hai
vajūd-e-ātish to ab huā hai maiñ is ke pahle se jal rahā huuñ
mire kaleje ke dukh na pūchho lagī se pahle lagī huī hai
na jaane kaisi gaDi hui hai na jaane kaisi lagi hui hai
wo teri chuTki se bhi na nikli jo phans dil mein chhabi hui hai
ilahi jaanon ki KHair karna wo tegh-e-abru khinchi hui hai
kisi ki aankhon ka samna hai qaza ki khiDki khuli hui hai
tumhaare talwon ke aarzu mein pisi hui hai ghuli hui hai
hina ki sarsabz pattiyon mein jo lal rangat chhipi hui hai
bigaD qismat ka kya bataun jo sath mere lagi hui hai
kahin kahin se kaTi hui hai kahin kahin se miTi hui hai
wo naujawani kahan se aae jo dagh de kar gai hui hai
zamin pe kyun kar use utarun jo dhup koThe chaDhi hui hai
hamare KHun-e-wafa ki rangat nazar mein nahaq jami hui hai
lahu mein phir apne hath bharna abhi to mehndi rachi hui hai
wajud-e-atish to ab hua hai main is ke pahle se jal raha hun
mere kaleje ke dukh na puchho lagi se pahle lagi hui hai
- Book : Khirman Part - 2 (Pg. 46)
- Author : Muztar Khairabadi
- Publication : Jawed Akhtar (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.