jalwa-e-ruKHsar-e-saqi saghar-o-mina mein hai
jalva-e-ruḳhsār-e-sāqī sāġhar-o-mīnā meñ hai
chāñd uupar hai magar Duubā huā dariyā meñ hai
vo tajallī jis ne dasht-e-ārzū chamkā diyā
kuchh to mere dil meñ hai aur kuchh kaf-e-mūsā meñ hai
nuuh kā tūfāñ to kuchh din rah ke āḳhir ho gayā
aur mirī kashtī abhī tak ishq ke dariyā meñ hai
saarī duniyā ko diye jaatā hai piine ke liye
kyā ḳhabar kitnā baḌā sāġhar kaf-e-maulā meñ hai
apne sadqe meñ vo degā mujh ko bhī 'muztar' uruuj
jis kā zikr-e-pāk sub.hānallazī-asrā meñ hai
jalwa-e-ruKHsar-e-saqi saghar-o-mina mein hai
chand upar hai magar Duba hua dariya mein hai
wo tajalli jis ne dasht-e-arzu chamka diya
kuchh to mere dil mein hai aur kuchh kaf-e-musa mein hai
nuh ka tufan to kuchh din rah ke aaKHir ho gaya
aur meri kashti abhi tak ishq ke dariya mein hai
sari duniya ko diye jata hai pine ke liye
kya KHabar kitna baDa saghar kaf-e-maula mein hai
apne sadqe mein wo dega mujh ko bhi 'muztar' uruj
jis ka zikr-e-pak subhanallazi-asra mein hai
- Book : Khirman Part - 2 (Pg. 269)
- Author : Muztar Khairabadi
- Publication : Jawed Ahmad (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.