dam-e-aKHir musibat kaT do bahr-e-KHuda meri
dam-e-āḳhir musībat kaaT do bahr-e-ḳhudā merī
tum aakar dard ke parde meñ kar jaao davā merī
mohabbat but-kade meñ chal ke us kā faisla kar de
ḳhudā merā ḳhudā hai yā ye mūrat hai ḳhudā merī
yahāñ se jab ga.ī thī tab asar par ḳhaar khaa.e thī
vahāñ se phuul barsātī huī palTī duā merī
tū hī kah de ye jism-e-zār merā hai ki terā hai
tū hī kah de ye rūh-e-nā-tavāñ terī hai yā merī
paḌā hai tafraqa jis din se kyā kyā yaad kartī hai
idhar mujh ko jafā terī udhar tujh ko vafā merī
muqayyad ho ke lutf-e-hastī-e-āzād bhī khoyā
vo kyā thī ibtidā merī ye kyā hai intihā merī
vahāñ jab the to jism-e-nā-tavāñ meñ ruuh phūñkī thī
yahāñ jis din se aa.e aap ban baiThe qazā merī
miyān-e-hashr ye kāfir baḌe itrā.e phirte haiñ
mazā aa jaa.e aise meñ agar sun le ḳhudā merī
kisī kā jalva-e-rañgīñ ye kahtā hai inheñ puujo
ye us patthar ke but haiñ jis pe pistī thī hinā merī
na jaane kaun se yūsuf kā jalva mujh meñ pinhāñ hai
zuleḳhā aaj tak kartī hai 'muztar' iltijā merī
dam-e-aKHir musibat kaT do bahr-e-KHuda meri
tum aakar dard ke parde mein kar jao dawa meri
mohabbat but-kade mein chal ke us ka faisla kar de
KHuda mera KHuda hai ya ye murat hai KHuda meri
yahan se jab gai thi tab asar par KHar khae thi
wahan se phul barsati hui palTi dua meri
tu hi kah de ye jism-e-zar mera hai ki tera hai
tu hi kah de ye ruh-e-na-tawan teri hai ya meri
paDa hai tafraqa jis din se kya kya yaad karti hai
idhar mujh ko jafa teri udhar tujh ko wafa meri
muqayyad ho ke lutf-e-hasti-e-azad bhi khoya
wo kya thi ibtida meri ye kya hai intiha meri
wahan jab the to jism-e-na-tawan mein ruh phunki thi
yahan jis din se aae aap ban baiThe qaza meri
miyan-e-hashr ye kafir baDe itrae phirte hain
maza aa jae aise mein agar sun le KHuda meri
kisi ka jalwa-e-rangin ye kahta hai inhen pujo
ye us patthar ke but hain jis pe pisti thi hina meri
na jaane kaun se yusuf ka jalwa mujh mein pinhan hai
zuleKHa aaj tak karti hai 'muztar' iltija meri
- Book : Khirman Part - 2 (Pg. 50)
- Author : Muztar Khairabadi
- Publication : Jawed Akhtar (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.