dushmani achchhi hai lekin dosti achchhi nahin
dushmanī achchhī hai lekin dostī achchhī nahīñ
aag behtar hai magar dil kī lagī achchhī nahīñ
ye qayām-e-ārzī aur apne aapas kā firāq
tum kahīñ aur maiñ kahīñ ye zindagī achchhī nahīñ
girya-e-fasl-e-ḳhizāñ kā vaqt aa pahuñchā qarīb
ai gulo dekho ye be-mauqa.a hañsī achchhī nahīñ
aa.ine kā qā.eda hai sab ke aage ek ho
ham ġharīboñ se tumhārī kaj-ruḳhī achchhī nahīñ
chashma-e-haivāñ se ye kah kar sikandar aa gayā
jo vasīle se mile vo zindagī achchhī nahīñ
vo hamārā qissa-e-ġham sun ke 'muztar' kah uThe
koī is ko kyā kare taqdīr hī achchhī nahīñ
dushmani achchhi hai lekin dosti achchhi nahin
aag behtar hai magar dil ki lagi achchhi nahin
ye qayam-e-arzi aur apne aapas ka firaq
tum kahin aur main kahin ye zindagi achchhi nahin
girya-e-fasl-e-KHizan ka waqt aa pahuncha qarib
ai gulo dekho ye be-mauqa hansi achchhi nahin
aaine ka qaeda hai sab ke aage ek ho
hum gharibon se tumhaari kaj-ruKHi achchhi nahin
chashma-e-haiwan se ye kah kar sikandar aa gaya
jo wasile se mile wo zindagi achchhi nahin
wo hamara qissa-e-gham sun ke 'muztar' kah uThe
koi is ko kya kare taqdir hi achchhi nahin
- Book : Khirman Part - 2 (Pg. 57)
- Author : Muztar Khairabadi
- Publication : Jawed Akhtar (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.