KHuda ne wasl ki shab mujhko kis mushkil mein rakkha hai
KHuda ne wasl ki shab mujhko kis mushkil mein rakkha hai
Muztar Khairabadi
MORE BYMuztar Khairabadi
ḳhudā ne vasl kī shab mujh ko kis mushkil meñ rakkhā hai
bahut kuchh kah chukā huuñ aur bahut kuchh dil meñ rakkhā hai
tarīq-e-ishq kī rāheñ janāb-e-ḳhizr kyā jāneñ
unhoñne kab qadam is maut kī manzil meñ rakkhā hai
ḳhudāvandā visāl-e-yār kī hasrat na puurī ho
ye vo hasrat hai jis ko maiñ ne barsoñ dil meñ rakhā hai
adū se bhī hai tum ko rabt aur mujh se bhī milte ho
mujhe kis dil meñ rakhoge use kis dil meñ rakhā hai
nigāheñ jā ke rū-e-yār tak kyā chiiz le aa.iiñ
jise dard-e-mohabbat kar ke mere dil meñ rakkhā hai
ḳhudā jaane mirī miTTī Thikāne kab lage 'muztar'
bahut din se janāza kūcha-e-qātil meñ rakkhā hai
KHuda ne wasl ki shab mujh ko kis mushkil mein rakkha hai
bahut kuchh kah chuka hun aur bahut kuchh dil mein rakkha hai
tariq-e-ishq ki rahen janab-e-KHizr kya jaanen
unhonne kab qadam is maut ki manzil mein rakkha hai
KHudawanda visal-e-yar ki hasrat na puri ho
ye wo hasrat hai jis ko main ne barson dil mein rakha hai
adu se bhi hai tum ko rabt aur mujh se bhi milte ho
mujhe kis dil mein rakhoge use kis dil mein rakha hai
nigahen ja ke ru-e-yar tak kya chiz le aain
jise dard-e-mohabbat kar ke mere dil mein rakkha hai
KHuda jaane meri miTTi Thikane kab lage 'muztar'
bahut din se janaza kucha-e-qatil mein rakkha hai
- Book : Khirman Part - 2 (Pg. 60)
- Author : Muztar Khairabadi
- Publication : Jawed Akhtar (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.