ye nahaq inkisar-e-jalwa-e-hairat-faza kyun hai
ye nāhaq inkisār-e-jalva-e-hairat-fazā kyuuñ hai
agar achchhe nahīñ ho tum to ālam-mubtalā kyuuñ hai
ḳhudā jaane tarīqa husn-o-ulfat kā judā kyuuñ hai
maiñ itnā bā-vafā kyuuñ huuñ vo itnā be-vafā kyuuñ hai
adū ko kyuuñ alag karte ho rasm-e-jaur-e-be-jā meñ
vafāoñ meñ to shāmil thā jafāoñ meñ judā kyuuñ hai
vo sun kar shikva-e-ishq-e-adū kis naaz se bole
tumhārā mubtalā hogā hamārā mubtalā kyuuñ hai
mohabbat us pe zāhir hazrat-e-dil kījiye lekin
javāb aap is kā kyā deñge agar us ne kahā kyuuñ hai
zarā tum phir ye kah do sun ke shikva rashk-e-dushman kā
gavārā jab nahīñ phir chāhne kā hauslā kyuuñ hai
tum apne jaur meñ dushman kā hissa kyuuñ lagāte ho
sitam meñ ye sitam kyuuñ hai jafā meñ ye jafā kyuuñ hai
hasīnoñ par nahīñ martā maiñ is hasrat meñ martā huuñ
ki aise aise logoñ ke liye zālim qazā kyuuñ hai
vo kahte haiñ ki kyuuñ jī jis ko tum chāho vo kyuuñ achchhā
vo achchhā kyuuñ hai aur ham jis ko chāheñ vo burā kyuuñ hai
vo pahlī sab vafā.eñ kyā huiiñ ab ye jafā kaisī
vo pahlī sab adā.eñ kyā huiiñ ab ye adā kyuuñ hai
tirā tark-e-sitam bhī ik sitam hai ye sitam kaisā
tirī tark-e-jafā bhī ik jafā hai ye jafā kyuuñ hai
ġhubār-e-nā-tavāñ kyuuñ un ke kūche se uḌātī hai
miTe to ham tujhe itnī kudūrat ai sabā kyuuñ hai
ḳhudā se māñgtā huuñ maut apnī is liye 'muztar'
ye sunñā hai kisī se kyuuñ ye marne kī duā kyuuñ hai
ye nahaq inkisar-e-jalwa-e-hairat-faza kyun hai
agar achchhe nahin ho tum to aalam-mubtala kyun hai
KHuda jaane tariqa husn-o-ulfat ka juda kyun hai
main itna ba-wafa kyun hun wo itna be-wafa kyun hai
adu ko kyun alag karte ho rasm-e-jaur-e-be-ja mein
wafaon mein to shamil tha jafaon mein juda kyun hai
wo sun kar shikwa-e-ishq-e-adu kis naz se bole
tumhaara mubtala hoga hamara mubtala kyun hai
mohabbat us pe zahir hazrat-e-dil kijiye lekin
jawab aap is ka kya denge agar us ne kaha kyun hai
zara tum phir ye kah do sun ke shikwa rashk-e-dushman ka
gawara jab nahin phir chahne ka hausla kyun hai
tum apne jaur mein dushman ka hissa kyun lagate ho
sitam mein ye sitam kyun hai jafa mein ye jafa kyun hai
hasinon par nahin marta main is hasrat mein marta hun
ki aise aise logon ke liye zalim qaza kyun hai
wo kahte hain ki kyun ji jis ko tum chaho wo kyun achchha
wo achchha kyun hai aur hum jis ko chahen wo bura kyun hai
wo pahli sab wafaen kya huin ab ye jafa kaisi
wo pahli sab adaen kya huin ab ye ada kyun hai
tera tark-e-sitam bhi ek sitam hai ye sitam kaisa
teri tark-e-jafa bhi ek jafa hai ye jafa kyun hai
ghubar-e-na-tawan kyun un ke kuche se uDati hai
miTe to hum tujhe itni kudurat ai saba kyun hai
KHuda se mangta hun maut apni is liye 'muztar'
ye sunna hai kisi se kyun ye marne ki dua kyun hai
- Book : Khirman Part - 2 (Pg. 69)
- Author : Muztar Khairabadi
- Publication : Jawed Akhtar (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.