jab se tumko dil diya rahat kisi pahlu nahin
jab se tum ko dil diyā rāhat kisī pahlū nahīñ
tum pe bhī qaabū nahīñ aur dil pe bhī qaabū nahīñ
imtihāñ-gāh-e-vafā meñ tū bhī chal maiñ bhī chalūñ
aaj ai shamshīr-e-qātil maiñ nahīñ yā tū nahīñ
ḳhūn-e-dil jitnā thā saarā vaqf-e-hasrat kar diyā
is qadar royā ki merī aañkh meñ aañsū nahīñ
husn-e-sūrat meñ namak ho aañkh meñ thoḌī kashish
is se baḌh ke koī bhī chaltā huā jaadū nahīñ
gulshan-e-ālam kī maiñ ne Dālī-Dālī dekh lī
phuul to achchhe haiñ sab lekin vafā kī bū nahīñ
dekh kar ka.abe ko ḳhālī maiñ ye kah kar aa gayā
aise ghar ko kyā karūñgā jis ke andar tū nahīñ
āshiqī ne umr saarī be-kalī meñ kaaT dī
chain 'muztar' ko kisī karvaT kisī pahlū nahīñ
jab se tum ko dil diya rahat kisi pahlu nahin
tum pe bhi qabu nahin aur dil pe bhi qabu nahin
imtihan-gah-e-wafa mein tu bhi chal main bhi chalun
aaj ai shamshir-e-qatil main nahin ya tu nahin
KHun-e-dil jitna tha sara waqf-e-hasrat kar diya
is qadar roya ki meri aankh mein aansu nahin
husn-e-surat mein namak ho aankh mein thoDi kashish
is se baDh ke koi bhi chalta hua jadu nahin
gulshan-e-alam ki main ne Dali-Dali dekh li
phul to achchhe hain sab lekin wafa ki bu nahin
dekh kar kabe ko KHali main ye kah kar aa gaya
aise ghar ko kya karunga jis ke andar tu nahin
aashiqi ne umr sari be-kali mein kaT di
chain 'muztar' ko kisi karwaT kisi pahlu nahin
- Book : Khirman Part - 2 (Pg. 96)
- Author : Muztar Khairabadi
- Publication : Jawed Akhtar (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.