hum to samajhte the ki ek din mehrban ho jaenge
ham to samajhte the ki ik din mehrbāñ ho jā.eñge
ye ḳhabar kyā thī nasīb-e-dushmanāñ ho jā.eñge
ek din madfan bhī benām-o-nishāñ ho jā.eñge
ḳhaak ke tuude bhī nazr-e-āsmāñ ho jā.eñge
dostī kī saarī rasmeñ zindagī ke saath haiñ
ek din sab mehrbāñ nā-mehrbāñ ho jā.eñge
yuuñ lagā.eñge adam ke jaane vāloñ kā patā
miTte-miTte ham bhī gard-e-kārvāñ ho jā.eñge
aap aa.eñ to sahī Thokar lagāne ke liye
merī turbat dekh kar aañsū ravāñ ho jā.eñge
hai yahī 'muztar' jo rañg-e-inqilāb-e-anjuman
ek din ham ḳhvāb-e-chashm-e-dostāñ ho jā.eñge
hum to samajhte the ki ek din mehrban ho jaenge
ye KHabar kya thi nasib-e-dushmanan ho jaenge
ek din madfan bhi benam-o-nishan ho jaenge
KHak ke tude bhi nazr-e-asman ho jaenge
dosti ki sari rasmen zindagi ke sath hain
ek din sab mehrban na-mehrban ho jaenge
yun lagaenge adam ke jaane walon ka pata
miTte-miTte hum bhi gard-e-karwan ho jaenge
aap aaen to sahi Thokar lagane ke liye
meri turbat dekh kar aansu rawan ho jaenge
hai yahi 'muztar' jo rang-e-inqilab-e-anjuman
ek din hum KHwab-e-chashm-e-dostan ho jaenge
- Book : Khirman Part - 2 (Pg. 149)
- Author : Muztar Khairabadi
- Publication : Jawed Akhtar (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.