rahe hum raaz-dar-e-ulfat-e-parda-nashin barson
rahe ham rāz-dār-e-ulfat-e-parda-nashīñ barsoñ
chhupāyā jeb ke parde meñ chāk-e-āstīñ barsoñ
pas-e-murdan mirā mātam rahegā har kahīñ barsoñ
lahū ro.egā gardūñ ḳhaak uḌā.egī zamīñ barsoñ
kuchh aisā ban paḌā naqsha ki sab naqshoñ se achchhā thā
rahā ḳhud mahv-e-shakl-e-yār sūrat-āfrīñ barsoñ
mirī turbat pe phuul us ne chaḌhā kar ye duā māñgī
ḳhudāvandā phalī-phūlī rahe ye sar-zamīñ barsoñ
rahe jaame se bāhar dast-e-vahshat josh-e-vahshat meñ
junūñ meñ ham ne pahnā jāma-e-be-āstīñ barsoñ
mohabbat meñ miTāyā muddatoñ taqdīr kā likkhā
ghisī sañg-e-dar-e-dildār par apnī jabīñ barsoñ
hamārā dam nahīñ niklegā jab tak tum na aaoge
tumhārī raah dekhegī nigāh-e-vāpsīñ barsoñ
na tum aa.e na apnī yaad ko bhejā mire dil meñ
ye vo ghar hai ki jis ko tum ne rakhā be-makīñ barsoñ
hamāre josh-e-vahshat par garebāñ muskurāyā hai
hañsā hai baḳhiya-e-dāman pe chāk-e-āstīñ barsoñ
udhar har vaar par qātil ko barsoñ lutf aayā hai
idhar har zaḳhm ne dī hai sadā-e-āfrīñ barsoñ
dam-e-āḳhir to aa kar mushkileñ āsān kar jaao
duā.eñ aap ko degī mirī jān-e-hazīñ barsoñ
vahī ab ba.ad-e-murdan qabr par aañsū bahāte haiñ
na aayā thā jinheñ merī mohabbat kā yaqīñ barsoñ
judā.ī meñ ye dhaḌkā thā ki aañch un par na aa jaaye
bujhā.ī āñsuoñ se ham ne āh-e-ātishīñ barsoñ
agar us but kā jalva dekh le chakkar meñ aa jaaye
sar-e-bāzār nāche zāhid-e-ḳhalvat-nashīñ barsoñ
ġhazab dekho butoñ ne us se apnā naam japvāyā
rahī thī jis zabāñ par yād-e-rabbul-ālamīñ barsoñ
mujhe nāshād kar ke āsmāñ rāhat na pā.egā
mujhe barbād kar ke ḳhaak chhāneī zamīñ barsoñ
mire mātam meñ kājal ban ke armāñ bah gayā 'muztar'
lahū ke āñsuoñ roī vo chashm-e-surmagīñ barsoñ
usī kī dast-e-vahshat ne uḌā diiñ dhajjiyāñ 'muztar'
rahī thī dīda-e-namnāk par jo āstīñ barsoñ
rahe hum raaz-dar-e-ulfat-e-parda-nashin barson
chhupaya jeb ke parde mein chaak-e-astin barson
pas-e-murdan mera matam rahega har kahin barson
lahu roega gardun KHak uDaegi zamin barson
kuchh aisa ban paDa naqsha ki sab naqshon se achchha tha
raha KHud mahw-e-shakl-e-yar surat-afrin barson
meri turbat pe phul us ne chaDha kar ye dua mangi
KHudawanda phali-phuli rahe ye sar-zamin barson
rahe jame se bahar dast-e-wahshat josh-e-wahshat mein
junun mein hum ne pahna jama-e-be-astin barson
mohabbat mein miTaya muddaton taqdir ka likkha
ghisi sang-e-dar-e-dildar par apni jabin barson
hamara dam nahin niklega jab tak tum na aaoge
tumhaari rah dekhegi nigah-e-wapsin barson
na tum aae na apni yaad ko bheja mere dil mein
ye wo ghar hai ki jis ko tum ne rakha be-makin barson
hamare josh-e-wahshat par gareban muskuraya hai
hansa hai baKHiya-e-daman pe chaak-e-astin barson
udhar har war par qatil ko barson lutf aaya hai
idhar har zaKHm ne di hai sada-e-afrin barson
dam-e-aKHir to aa kar mushkilen aasan kar jao
duaen aap ko degi meri jaan-e-hazin barson
wahi ab baad-e-murdan qabr par aansu bahate hain
na aaya tha jinhen meri mohabbat ka yaqin barson
judai mein ye dhaDka tha ki aanch un par na aa jaye
bujhai aansuon se hum ne aah-e-atishin barson
agar us but ka jalwa dekh le chakkar mein aa jaye
sar-e-bazar nache zahid-e-KHalwat-nashin barson
ghazab dekho buton ne us se apna nam japwaya
rahi thi jis zaban par yaad-e-rabbul-alamin barson
mujhe nashad kar ke aasman rahat na paega
mujhe barbaad kar ke KHak chhanei zamin barson
mere matam mein kajal ban ke arman bah gaya 'muztar'
lahu ke aansuon roi wo chashm-e-surmagin barson
usi ki dast-e-wahshat ne uDa din dhajjiyan 'muztar'
rahi thi dida-e-namnak par jo aastin barson
- Book : Khirman Part - 2 (Pg. 152)
- Author : Muztar Khairabadi
- Publication : Jawed Akhtar (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.