ai ishq ata kar de aisa mujhe kashana
ai ishq atā kar de aisā mujhe kāshāna
jo ka.abe kā ka.aba ho but-ḳhāne kā but-ḳhāna
mahrūm-e-tajallī hai muddat se ye kāshāna
aa jā mire madfan meñ o jalva-e-jānāna
saaqī ko dikhā.ūñgā ye shān-e-faqīrāna
phūTī huī ik botal TuuTā huā paimāna
sāġhar hai na miinā hai shīsha hai na paimāna
jis din se gayā saaqī sunsān hai mai-ḳhāna
ik aisī jhalak de jā o jalva-e-jānāna
lailā bhī pukār uTThe majnūñ to thā dīvāna
chheḌo na farishto tum zikr-e-ġham-e-jānāna
kyuuñ yaad dilāte ho bhūlā huā afsāna
yuuñ hashr meñ uTThā hai saaqī tirā mastāna
ik haath meñ botal hai ik haath meñ paimāna
hai ulfat-e-sāqī meñ mashrab mirā rindāna
ai paik-e-qazā tū hī bhar de mirā paimāna
miTTī mirī dāman se saaqī ne chhuḌā Daalī
maiñ to ye samjhā thā ban jā.egā paimāna
ye chashm-e-haqīqat-bīñ kyā dekhe sivā tere
sajde se hameñ matlab ka.aba ho ki but-ḳhāna
ai jalve kī nairañgī kuchh naam to raushan kar
dāmān-e-tajallī par likh de mirā afsāna
yārab mire lene ko kyuuñ tū ne qazā bhejī
apnoñ ko kabhī lene aatā nahīñ begāna
ai jalva-e-sad-ḳhalvat kab tum meñ rahūñ 'muztar'
le le mirī hushyārī kar de mujhe dīvāna
ai ishq ata kar de aisa mujhe kashana
jo kabe ka kaba ho but-KHane ka but-KHana
mahrum-e-tajalli hai muddat se ye kashana
aa ja mere madfan mein o jalwa-e-jaanana
saqi ko dikhaunga ye shan-e-faqirana
phuTi hui ek botal TuTa hua paimana
saghar hai na mina hai shisha hai na paimana
jis din se gaya saqi sunsan hai mai-KHana
ek aisi jhalak de ja o jalwa-e-jaanana
laila bhi pukar uTThe majnun to tha diwana
chheDo na farishto tum zikr-e-gham-e-jaanana
kyun yaad dilate ho bhula hua afsana
yun hashr mein uTTha hai saqi tera mastana
ek hath mein botal hai ek hath mein paimana
hai ulfat-e-saqi mein mashrab mera rindana
ai paik-e-qaza tu hi bhar de mera paimana
miTTi meri daman se saqi ne chhuDa Dali
main to ye samjha tha ban jaega paimana
ye chashm-e-haqiqat-bin kya dekhe siwa tere
sajde se hamein matlab kaba ho ki but-KHana
ai jalwe ki nairangi kuchh nam to raushan kar
daman-e-tajalli par likh de mera afsana
yarab mere lene ko kyun tu ne qaza bheji
apnon ko kabhi lene aata nahin begana
ai jalwa-e-sad-KHalwat kab tum mein rahun 'muztar'
le le meri hushyari kar de mujhe diwana
- Book : Khirman Part - 2 (Pg. 168)
- Author : Muztar Khairabadi
- Publication : Jawed Akhtar (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.