hijab-e-KHas ke parde uThe hain kaif-o-masti mein
hijab-e-KHas ke parde uThe hain kaif-o-masti mein
Muztar Khairabadi
MORE BYMuztar Khairabadi
hijāb-e-ḳhās ke parde uThe haiñ kaif-o-mastī meñ
na jaane kis kī hastī dekhtā huuñ apnī hastī meñ
na bahkā aaj tak maiñ nashsha-e-ulfat kī mastī meñ
butoñ ko bhī agar puujā to puujā haq-parastī meñ
na so.e chādar-e-gul par kabhī duniyā kī bastī meñ
sadā kāñTe hī chunte kaT ga.ī gulzār-e-hastī meñ
lagī us sho.ala-e-ruḳhsār kī baaqī rahī yūñhī
to sun lenā ki ik din mar gayā ātish-parastī meñ
mirī turbat pe ḳhud saaqī ne aa kar ye duā māñgī
ḳhudā baḳhshe bahut achchhī guzārī mai-parastī meñ
mire qātil kī jaldī ne mujhe nākām hī rakhā
tamannā dekhne kī bhī na niklī tez-dastī meñ
ba-rañg-e-kāsa-e-taqdīr gardish hī maiñ din guzre
pyāla ban ke maiñ ne umr kaaTī mai-parastī meñ
nirālī shaan se niklā huuñ terī justujū karne
mohabbat rahnumā.ī meñ hai vahshat sarparastī meñ
talāsh-e-but meñ mujh ko dekh kar jannat meñ sab bole
ye kāfir kyuuñ chalā aayā musalmānoñ kī bastī meñ
bayābān-e-ġharībī meñ basar kartā huuñ muddat se
vatan jis din se chhoḌā jī nahīñ lagtā hai bastī meñ
hijab-e-KHas ke parde uThe hain kaif-o-masti mein
na jaane kis ki hasti dekhta hun apni hasti mein
na bahka aaj tak main nashsha-e-ulfat ki masti mein
buton ko bhi agar puja to puja haq-parasti mein
na soe chadar-e-gul par kabhi duniya ki basti mein
sada kanTe hi chunte kaT gai gulzar-e-hasti mein
lagi us shoala-e-ruKHsar ki baqi rahi yunhi
to sun lena ki ek din mar gaya aatish-parasti mein
meri turbat pe KHud saqi ne aa kar ye dua mangi
KHuda baKHshe bahut achchhi guzari mai-parasti mein
mere qatil ki jaldi ne mujhe nakaam hi rakha
tamanna dekhne ki bhi na nikli tez-dasti mein
ba-rang-e-kasa-e-taqdir gardish hi main din guzre
pyala ban ke main ne umr kaTi mai-parasti mein
nirali shan se nikla hun teri justuju karne
mohabbat rahnumai mein hai wahshat sarparasti mein
talash-e-but mein mujh ko dekh kar jannat mein sab bole
ye kafir kyun chala aaya musalmanon ki basti mein
bayaban-e-gharibi mein basar karta hun muddat se
watan jis din se chhoDa ji nahin lagta hai basti mein
- Book : Khirman Part - 2 (Pg. 172)
- Author : Muztar Khairabadi
- Publication : Jawed Akhtar (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.