buton mein nur-e-zat-e-kibriya malum hota hai
butoñ meñ nūr-e-zāt-e-kibriyā ma.alūm hotā hai
mujhe kuchh din se har patthar ḳhudā ma.alūm hotā hai
hijāb-e-ishq meñ but kibriyā ma.alūm hotā hai
baḌe sañgīn parde meñ ḳhudā ma.alūm hotā hai
maraz ulfat kā paiġhām-e-qazā ma.alūm hotā hai
ye dard-e-lā-davā mujh ko davā ma.alūm hotā hai
miyān-e-tishnagī pyāsoñ ne aisī lazzateñ lūTīñ
ki āb-e-teġh-e-qātil be-mazā ma.alūm hotā hai
na pūchho kyuuñ maiñ ka.abe jā ke but-ḳhāne chalā aayā
akelā ghar to duniyā ko burā ma.alūm hotā hai
madīna jā ke koī tishna-lab vāpas nahīñ aatā
ye saaqī bhī saḳhāvat meñ ḳhudā ma.alūm hotā hai
maiñ itnā arsh se ūñchā gayā zor-e-mohabbat meñ
ki uupar se bahut nīche ḳhudā ma.alūm hotā hai
vahāñ jā kar kiye haiñ maiñ ne sajde apnī hastī ko
jahāñ banda pahuñch kar ḳhud ḳhudā ma.alūm hotā hai
ḳhudā bhī jab na ho ma.alūm tab jaano miTī hastī
fanā kā kyā mazā jab tak ḳhudā ma.alūm hotā hai
butoñ ke ishq meñ ġhaflat ke parde uTh ga.e 'muztar'
jab āñkheñ band kartā huuñ ḳhudā ma.alūm hotā hai
buton mein nur-e-zat-e-kibriya malum hota hai
mujhe kuchh din se har patthar KHuda malum hota hai
hijab-e-ishq mein but kibriya malum hota hai
baDe sangin parde mein KHuda malum hota hai
maraz ulfat ka paigham-e-qaza malum hota hai
ye dard-e-la-dawa mujh ko dawa malum hota hai
miyan-e-tishnagi pyason ne aisi lazzaten luTin
ki aab-e-tegh-e-qatil be-maza malum hota hai
na puchho kyun main kabe ja ke but-KHane chala aaya
akela ghar to duniya ko bura malum hota hai
madina ja ke koi tishna-lab wapas nahin aata
ye saqi bhi saKHawat mein KHuda malum hota hai
main itna arsh se uncha gaya zor-e-mohabbat mein
ki upar se bahut niche KHuda malum hota hai
wahan ja kar kiye hain main ne sajde apni hasti ko
jahan banda pahunch kar KHud KHuda malum hota hai
KHuda bhi jab na ho malum tab jaano miTi hasti
fana ka kya maza jab tak KHuda malum hota hai
buton ke ishq mein ghaflat ke parde uTh gae 'muztar'
jab aankhen band karta hun KHuda malum hota hai
- Book : Khirman Part - 2 (Pg. 175)
- Author : Muztar Khairabadi
- Publication : Jawed Akhtar (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.