jagte ka KHwab samjho warna duniya hai bhi kya
jāgte kā ḳhvāb samjho varna duniyā hai bhī kyā
us kī hasrat hai bhī kyā us kī tamannā hai bhī kyā
sirf dhoke ke liye naqsh-e-sarāb-e-dahr hai
is se sab pyāse ga.e ye mauj-e-dariyā hai bhī kyā
sab bane haiñ ālam-e-fānī meñ miTne ke liye
maut kī tamhīd samjho varna jiinā hai bhī kyā
kuchh na terā hai na merā is bisāt-e-dahr meñ
sirf do-din ke liye ye terā-merā hai bhī kyā
jīte-jī dete haiñ dam 'muztar' ḳhudā kī yaad meñ
marne vaale yuuñ bhī mar jaate haiñ marnā hai bhī kyā
jagte ka KHwab samjho warna duniya hai bhi kya
us ki hasrat hai bhi kya us ki tamanna hai bhi kya
sirf dhoke ke liye naqsh-e-sarab-e-dahr hai
is se sab pyase gae ye mauj-e-dariya hai bhi kya
sab bane hain aalam-e-fani mein miTne ke liye
maut ki tamhid samjho warna jina hai bhi kya
kuchh na tera hai na mera is bisat-e-dahr mein
sirf do-din ke liye ye tera-mera hai bhi kya
jite-ji dete hain dam 'muztar' KHuda ki yaad mein
marne wale yun bhi mar jate hain marna hai bhi kya
- Book : Khirman Part - 2 (Pg. 180)
- Author : Muztar Khairabadi
- Publication : Jawed Akhtar (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.